ek subh jab aankh khuli khidki se jhaanka raaste ko
bheed machi thi jhunjhulaati si har koi jaldi mein chalta
saans fulaaye daude jaata
horn baja ke sab ko bas aage hona tha
bade chaav se aankhen un ko dekh rahi theen
socha ye kaisi jaldi mein bande saare daud rahe hain
kaun si manzil pa jaane ko sab ko peeche chhod rahe hain
laga achaanak jhatka aur aankhen jaagi theen
raasta tha sunsaan bheed ka naam nahin tha
aaina tha aankh ke aage
raaste par to koi na tha
एक सुब्ह जब आँख खुली खिड़की से झाँका रस्ते को
भीड़ मची थी झुँझलाती सी हर कोई जल्दी में चलता
साँस फुलाए दौड़े जाता
हॉर्न बजा के सब को बस आगे होना था
बड़े चाव से आँखें उन को देख रही थीं
सोचा ये कैसी जल्दी में बंदे सारे दौड़ रहे हैं
कौन सी मंज़िल पा जाने को सब को पीछे छोड़ रहे हैं
लगा अचानक झटका और आँखें जागी थीं
रास्ता था सुनसान भीड़ का नाम नहीं था
आईना था आँख के आगे
रास्ते पर तो कोई न था
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Viral Shukla
As you were reading Raasta Shayari Shayari