koi charaagh na jugnoo safar mein rakha gaya
dil-o-dimaagh ko jab apne ghar mein rakha gaya
khurch khurch ke likha naam ek khushboo ka
kisi ki yaad ko yun bhi shajar mein rakha gaya
jo ek lamhe ko chamka tha toor hasti par
wahi to aks hamesha nazar mein rakha gaya
meri nigaah ne dekhe nahin khandar ab tak
mujhe to gaav se pehle nagar mein rakha gaya
mujhe hi fikr rahi ik ana ke mitne ki
ki ik junoon sa mere hi sar mein rakha gaya
taraashti hi raheen us ki ungaliyaan mujh ko
mera vujood kisi ke hunar mein rakha gaya
ufuq pe phool wafaon ka jab hua raushan
sisakti shab ke lahu ko sehar mein rakha gaya
कोई चराग़ न जुगनू सफ़र में रक्खा गया
दिल-ओ-दिमाग़ को जब अपने घर में रक्खा गया
खुरच खुरच के लिखा नाम एक ख़ुश्बू का
किसी की याद को यूँ भी शजर में रक्खा गया
जो एक लम्हे को चमका था तूर हस्ती पर
वही तो अक्स हमेशा नज़र में रक्खा गया
मिरी निगाह ने देखे नहीं खंडर अब तक
मुझे तो गाँव से पहले नगर में रक्खा गया
मुझे ही फ़िक्र रही इक अना के मिटने की
कि इक जुनून सा मेरे ही सर में रक्खा गया
तराशती ही रहीं उस की उँगलियाँ मुझ को
मिरा वजूद किसी के हुनर में रक्खा गया
उफ़ुक़ पे फूल वफ़ाओं का जब हुआ रौशन
सिसकती शब के लहू को सहर में रक्खा गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Wafa Naqvi
our suggestion based on Wafa Naqvi
As you were reading Basant Shayari Shayari