is nagri mein vo bhi magan tha
lohe jaisa jis ka badan tha
aaj hai vo ik khushk shajar sa
kal jo rask-e-sehn-e-chaman tha
jungle jungle us ki khushboo
phool vo kab mahdood-e-chaman tha
mujh ko na aayi talkh-nawaai
shahad se meetha mera sukhun tha
dekha na us mein apna chehra
mere ghar mein jo darpan tha
rakhwaaloṅ ne aise lootaa
pal mein khaali sab makhzan tha
haath se vo bhi chhoot gaya hai
mehr-o-wafa ka jo daaman tha
इस नगरी में वो भी मगन था
लोहे जैसा जिस का बदन था
आज है वो इक ख़ुश्क शजर सा
कल जो रश्क-ए-सेहन-ए-चमन था
जंगल जंगल उस की ख़ुशबू
फूल वो कब महदूद-ए-चमन था
मुझ को न आई तल्ख़-नवाई
शहद से मीठा मेरा सुख़न था
देखा न उस में अपना चेहरा
मेरे घर में जो दर्पन था
रखवालों ने ऐसे लूटा
पल में ख़ाली सब मख़्ज़न था
हाथ से वो भी छूट गया है
मेहर-ओ-वफ़ा का जो दामन था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Wafa Siddiqui
our suggestion based on Wafa Siddiqui
As you were reading Aaina Shayari Shayari