duniya to ye kahti hai bahut mujh mein hunar hai
main chaahoon to duniya ko chaman-zaar bana doon
aa jaata hai in baaton mein duniya ke mera dil
jut jaata hoon main kaam mein jee-jaan laga kar
phir be-khabri had se guzar jaati hai meri
batta nahin chal padta hoon jab apni dagar par
ye dekh ke kuchh roz to chup rahti hai duniya
de jaati hai naagaah magar mujh ko daga bhi
is darja khafa hoti hai vo meri ravish se
hoga na kabhi itna khafa mera khuda bhi
duniya ko nazar aate hain na-waqt bhi mujh mein
vo aib ki phir kuchh mujhe karne nahin deti
pahunchaati hai vo chot ki jee rahna ho dushwaar
marne ko hoon taiyyaar to marne nahin deti
duniya to ye kahti hai bahut mujh mein hunar hai
main chaahoon to duniya ko chaman-zaar bana doon
दुनिया तो ये कहती है बहुत मुझ में हुनर है
मैं चाहूँ तो दुनिया को चमन-ज़ार बना दूँ
आ जाता है इन बातों में दुनिया के मिरा दिल
जुट जाता हूँ मैं काम में जी-जान लगा कर
फिर बे-ख़बरी हद से गुज़र जाती है मेरी
बटता नहीं चल पड़ता हूँ जब अपनी डगर पर
ये देख के कुछ रोज़ तो चुप रहती है दुनिया
दे जाती है नागाह मगर मुझ को दग़ा भी
इस दर्जा ख़फ़ा होती है वो मेरी रविश से
होगा न कभी इतना ख़फ़ा मेरा ख़ुदा भी
दुनिया को नज़र आते हैं ना-वक़्त भी मुझ में
वो ऐब कि फिर कुछ मुझे करने नहीं देती
पहुँचाती है वो चोट कि जी रहना हो दुश्वार
मरने को हूँ तय्यार तो मरने नहीं देती
दुनिया तो ये कहती है बहुत मुझ में हुनर है
मैं चाहूँ तो दुनिया को चमन-ज़ार बना दूँ
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Wali Alam Shaheen
As you were reading Khafa Shayari Shayari