mitti ki deewaar pe ik khunti se latki
meri yaadon ki zambil
jis mein chhupe the
rang-birange kapdon ke bosida katran
gol gol si nanhi munni kar dhaniyon ke daane
ik amrood ki daali kaat ke baba ne jo banaai thi
vo tedhi-medhi ek ghulail
neele peele matiyaale aur laal paron ki dheri
chaude munh ka ik munh zor sa kaath ka adiyal ghoda
apni akad mein khaata hua bagghi waale ka koda
itni muddat ba'ad jo khuli main ne vo zambil
ik nanha is mein se nikal kar jaise sarpat bhaaga
dekhta tha peecha hi vo apna aur na apna aagaa
aur uljhta jaata jitna khulta lipta dhaaga
jaise bhayaanak sapne dekhe kai dinon ka jaaga
ab ke phir vo nazar aaya to sargoshi mein poochhoonga
tum to mere yaar the phir kyun
saalon saal nahin milne ko
apne shu'ur ki hairaani ka bojh uthaaye
jaane kitni kathin raahon se guzarte ho
jag waalon par hanste ho ya chhup chhup aahen bharte ho
basti chhod ke jungle jungle rain basera karte ho
ya phir ik paataal ki nichli tah mein utar ja marte ho
shaayad tum bhi gautam ho aur apne aap se darte ho
मिट्टी की दीवार पे इक खूँटी से लटकी
मेरी यादों की ज़म्बील
जिस में छुपे थे
रंग-बिरंगे कपड़ों के बोसीदा कतरन
गोल गोल सी नन्ही मुन्नी कर धनियों के दाने
इक अमरूद की डाली काट के बाबा ने जो बनाई थी
वो टेढ़ी-मेढ़ी एक ग़ुलैल
नीले पीले मटियाले और लाल परों की ढेरी
चौड़े मुँह का इक मुँह ज़ोर सा काठ का अड़ियल घोड़ा
अपनी अकड़ में खाता हुआ बग्घी वाले का कोड़ा
इतनी मुद्दत बा'द जो खोली मैं ने वो ज़म्बील
इक नन्हा इस में से निकल कर जैसे सरपट भागा
देखता था पीछा ही वो अपना और न अपना आगा
और उलझता जाता जितना खुलता लिपटा धागा
जैसे भयानक सपने देखे कई दिनों का जागा
अब के फिर वो नज़र आया तो सरगोशी में पूछूँगा
तुम तो मेरे यार थे फिर क्यूँ
सालों साल नहीं मिलने को
अपने शुऊ'र की हैरानी का बोझ उठाए
जाने कितनी कठिन राहों से गुज़रते हो
जग वालों पर हँसते हो या छुप छुप आहें भरते हो
बस्ती छोड़ के जंगल जंगल रैन बसेरा करते हो
या फिर इक पाताल की निचली तह में उतर जा मरते हो
शायद तुम भी गौतम हो और अपने आप से डरते हो
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Wali Alam Shaheen
As you were reading Raaz Shayari Shayari