b-yak-jumbish | ब-यक-जुम्बिश

  - Wali Alam Shaheen

b-yak-jumbish
meri aankhon ko patthar kar diya jis ne
vo khanjar kaash
seene mein mere paivast ho jaata

ravaan hai
waqt ki saffaaq mehraabo'n ke neeche
nahr-e-khoon-basta
sisakti cheekhti tanhaa sadaaon ki

main ab kis ke liye
ghar ke khandar mein khwaab ghar ke dekhta jaaun
zabaan par hai kaseela zaa'ika taambe ke sikke ka
kahaan tak har kisi ke saamne kashkol failaaun

ब-यक-जुम्बिश
मिरी आँखों को पत्थर कर दिया जिस ने
वो ख़ंजर काश
सीने में मिरे पैवस्त हो जाता

रवाँ है
वक़्त की सफ़्फ़ाक मेहराबों के नीचे
नहर-ए-ख़ूँ-बस्ता
सिसकती चीख़ती तन्हा सदाओं की

मैं अब किस के लिए
घर के खंडर में ख़्वाब घर के देखता जाऊँ
ज़बाँ पर है कसीला ज़ाइक़ा ताँबे के सिक्के का
कहाँ तक हर किसी के सामने कश्कोल फैलाऊँ

  - Wali Alam Shaheen

Urdu Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Wali Alam Shaheen

Similar Moods

As you were reading Urdu Shayari Shayari