sochta hoon main | सोचता हूँ मैं

  - Wali Alam Shaheen

sochta hoon main
tumhaare zer-e-lab harf-e-sukhan mein
koi afsaana hai muzmar ya haqeeqat ya fareb-e-pukhta-kaaraan
main nazar rakhta hoon tum par
aur tumhaari aankh hai paiham ta'aqub mein kisi ik ajnabi ke
ajnabi jo khud hiraasaan aur pareshaan-haal hai
doosri jaanib sadak par der se ik aur shakhs
jhooth ko sach kah ke jo elaan karta phir raha hai
dil hi dil mein dar raha hai

udte jaate hain sabhi chehron ke rang
gathriyaan apni samete
shehar se baahar nikalte raaston par har koi hai gaamzan
is be-e'tibaari aagahi ke darmiyaan
ik asa-bardaar kuchh kehta hua
jis ka ik ik lafz paivasta hai
yun ik doosre se
jis tarah nazdeek tar aate hue qadmon ki chaap

सोचता हूँ मैं
तुम्हारे ज़ेर-ए-लब हर्फ़-ए-सुख़न में
कोई अफ़्साना है मुज़्मर या हक़ीक़त या फ़रेब-ए-पुख़्ता-काराँ
मैं नज़र रखता हूँ तुम पर
और तुम्हारी आँख है पैहम तआ'क़ुब में किसी इक अजनबी के
अजनबी जो ख़ुद हिरासाँ और परेशाँ-हाल है
दूसरी जानिब सड़क पर देर से इक और शख़्स
झूट को सच कह के जो एलान करता फिर रहा है
दिल ही दिल में डर रहा है

उड़ते जाते हैं सभी चेहरों के रंग
गठरियाँ अपनी समेटे
शहर से बाहर निकलते रास्तों पर हर कोई है गामज़न
इस बे-ए'तिबारी आगही के दरमियाँ
इक असा-बरदार कुछ कहता हुआ
जिस का इक इक लफ़्ज़ पैवस्ता है
यूँ इक दूसरे से
जिस तरह नज़दीक तर आते हुए क़दमों की चाप

  - Wali Alam Shaheen

Dar Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Wali Alam Shaheen

Similar Moods

As you were reading Dar Shayari Shayari