"Mudaava" | "मुदावा"

  - Wamiq Jaunpuri

"Mudaava"

kitne bebaak hain shaair ab ke
kitne uryaan hain ye afsaana-nigaar
kuchh samajh mein mere aate hi nahin
in adab-sozon ke gunjalak-ashaar
yun to apne ko ye kahte hain adeeb
padhte hain jang ke lekin akhbaar
kabhi europe ka kabhi poorab ka
zikr karne mein udaate hain sharaar
daastaanen na qaside na ghazal
adab-e-talkh ki har soo bhar maar
kabhi punjab ki bhondi baatein
kabhi bangaal ke gande afkaar
khoon-aalooda hain un ki nasren
peep bahte hue in ke ashaar
un ke afsaano ke mawzoo ajeeb
kaali ladki kabhi kaali shalwaar
ann-daata se kabhi lad baithe
kabhi aflaas pe kheenchti talwaar
un ki nazmon mein koi lutf nahin
na koi naghma na tafseer-e-bahaar
kabhi aawaara kabhi khaana-b-dosh
kabhi aurat kabhi meena-bazaar
bad-mazaqi ki saraasar baatein
rang o boo chhod ke aandhi ki pukaar
harf-e-aakhir ki vo shamsheer do-dam
zahar mein doobi hui jis ki dhaar
jung-e-aazaadi ka sar mein sauda
beswa ke liye itne eesaar
aib-poshi unhen aati hi nahin
zakham dhote hain sar-e-raahguzaar

ek main bhi to hoon pakka shaair
magar in baaton se bilkul inkaar
sanad-e-maazi se pur mera kalaam
fikr-e-imroz se karta hoon firaar
hota hai saaf mera har misra
ek bhi sher nahin zehan pe baar
lekin us ke liye ab kya main karoon
ye samjhte nahin mujh ko fankaar

inqilaab aur adab-ha-e-ghazab
kitne makhdoosh hain ye sab aasaar
gorki jaabir o nazr-ul-islam
yahi do chaar hain in ke meyaar
sunne mein aaya hai bahre mere kaan
ki khuda se bhi unhen hai inkaar
mazhabon se unhen behad nafrat
maabadon par ye udaate hain ghubaar
hukmraanon ka koi khauf nahin
umraa ka nahin kuchh dil mein vaqaar
chaand par khaak udaane ke liye
jab bhi dekha unhen paaya taiyyaar
mukhtasar ye ki har ik feel un ka
shola-dar-qasr shikan-dar-deewar
main to aajiz hoon ilaahi tauba
aakhir aayega kabhi un ko qaraar
koi lillaah hatao un ko
jaag utthe hain sulao un ko

"मुदावा"


कितने बेबाक हैं शाइर अब के
कितने उर्यां हैं ये अफ़्साना-निगार
कुछ समझ में मिरे आते ही नहीं
इन अदब-सोज़ों के गुंजलक-अशआर
यूँ तो अपने को ये कहते हैं अदीब
पढ़ते हैं जंग के लेकिन अख़बार
कभी यूरोप का कभी पूरब का
ज़िक्र करने में उड़ाते हैं शरार
दास्तानें न क़सीदे न ग़ज़ल
अदब-ए-तल्ख़ की हर सू भर मार
कभी पंजाब की भोंडी बातें
कभी बंगाल के गंदे अफ़्कार
ख़ून-आलूदा हैं उन की नस्रें
पीप बहते हुए इन के अशआर
उन के अफ़्सानों के मौज़ू अजीब
काली लड़की कभी काली शलवार
अन्न-दाता से कभी लड़ बैठे
कभी अफ़्लास पे खींचती तलवार
उन की नज़्मों में कोई लुत्फ़ नहीं
न कोई नग़्मा न तफ़सीर-ए-बहार
कभी आवारा कभी ख़ाना-ब-दोश
कभी औरत कभी मीना-बाज़ार
बद-मज़ाक़ी की सरासर बातें
रंग ओ बू छोड़ के आँधी की पुकार
हरफ़-ए-आख़िर की वो शमशीर दो-दम
ज़हर में डूबी हुई जिस की धार
जंग-ए-आज़ादी का सर में सौदा
बेसवा के लिए इतने ईसार
ऐब-पोशी उन्हें आती ही नहीं
ज़ख़्म धोते हैं सर-ए-राहगुज़ार

एक मैं भी तो हूँ पक्का शाइर
मगर इन बातों से बिल्कुल इंकार
सनद-ए-माज़ी से पुर मेरा कलाम
फ़िक्र-ए-इमरोज़ से करता हूँ फ़रार
होता है साफ़ मिरा हर मिसरा
एक भी शेर नहीं ज़ेहन पे बार
लेकिन उस के लिए अब क्या मैं करूँ
ये समझते नहीं मुझ को फ़नकार

इंक़िलाब और अदब-हा-ए-ग़ज़ब
कितने मख़दूश हैं ये सब आसार
गोर्की जाबिर ओ नज़्र-उल-इस्लाम
यही दो चार हैं इन के मेयार
सुनने में आया है बहरे मिरे कान
कि ख़ुदा से भी उन्हें है इंकार
मज़हबों से उन्हें बेहद नफ़रत
माबदों पर ये उड़ाते हैं ग़ुबार
हुक्मरानों का कोई ख़ौफ़ नहीं
उमरा का नहीं कुछ दिल में वक़ार
चाँद पर ख़ाक उड़ाने के लिए
जब भी देखा उन्हें पाया तय्यार
मुख़्तसर ये कि हर इक फ़ेल उन का
शोला-दर-क़स्र शिकन-दर-दीवार
मैं तो आजिज़ हूँ इलाही तौबा
आख़िर आएगा कभी उन को क़रार
कोई लिल्लाह हटाओ उन को
जाग उट्ठे हैं सुलाओ उन को

  - Wamiq Jaunpuri

Baaten Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Wamiq Jaunpuri

As you were reading Shayari by Wamiq Jaunpuri

Similar Writers

our suggestion based on Wamiq Jaunpuri

Similar Moods

As you were reading Baaten Shayari Shayari