lo raat ki baat tamaam hui | लो रात की बात तमाम हुई

  - Wazir Agha

lo raat ki baat tamaam hui
ab din ki baatein karte hain
sab khwaab tamaashe dhool hue
aur jugnoo taare deep sabhi
prakaash ke phaile saagar mein
chamkaat dikhaana bhool gaye
ik chaand ki shab bhar saath raha
vo chaand bhi gir kar toot gaya
lo raat ki baat tamaam hui
ab din ki baatein karte hain
phoolon ke suje chehron par
shabnam ki chidiyaan utri theen
in chidiyon par ham suraj ke
teeron ka nishaana takte hain
adh-meechi apni palkon se
ham galiyon aur bazaaron mein
sone ke reze chunte hain
aur daaghoon dhabbon shiknon se
deewarein kaali karte hain
phir ujle kaaghaz par likkhi
sab gandi khabren padhte hain
lo raat ki baat tamaam hui
ab din ki baatein karte hain

लो रात की बात तमाम हुई
अब दिन की बातें करते हैं
सब ख़्वाब तमाशे धूल हुए
और जुगनू तारे दीप सभी
प्रकाश के फैले सागर में
चमकाट दिखाना भूल गए
इक चाँद कि शब भर साथ रहा
वो चाँद भी गिर कर टूट गया
लो रात की बात तमाम हुई
अब दिन की बातें करते हैं
फूलों के सूजे चेहरों पर
शबनम की चिड़ियाँ उतरी थीं
इन चिड़ियों पर हम सूरज के
तीरों का निशाना तकते हैं
अध-मीची अपनी पलकों से
हम गलियों और बाज़ारों में
सोने के रेज़े चुनते हैं
और दाग़ों धब्बों शिकनों से
दीवारें काली करते हैं
फिर उजले काग़ज़ पर लिक्खी
सब गंदी ख़बरें पढ़ते हैं
लो रात की बात तमाम हुई
अब दिन की बातें करते हैं

  - Wazir Agha

Raat Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Wazir Agha

Similar Moods

As you were reading Raat Shayari Shayari