tah-dar-tah jungle ke andar
us ka ik chhota sa ghar tha
aur khud jungle
shab ke kaale resham ke
ik thaan ke andar
daba pada tha
chur-mur si awaaz bana tha
aur shab
gore din ke
makdi-jaal mein jakadi
ik kaali makki ki soorat
latk rahi thi
main kya karta
majboori si majboori thi
main ne khud ko
ghar chappar mein
ulta latka dekh liya tha
kitni hi girhon mein jakda
dekh liya tha
makdi jaane kahaan gai thi
apni tahon ke andar shaayad
fansi hui thi
main kya jaanoon
तह-दर-तह जंगल के अंदर
उस का इक छोटा सा घर था
और ख़ुद जंगल
शब के काले रेशम के
इक थान के अंदर
दबा पड़ा था
चुर-मुर सी आवाज़ बना था
और शब
गोरे दिन के
मकड़ी-जाल में जकड़ी
इक काली मक्खी की सूरत
लटक रही थी
मैं क्या करता
मजबूरी सी मजबूरी थी
मैं ने ख़ुद को
घर छप्पर में
उल्टा लटका देख लिया था
कितनी ही गिरहों में जकड़ा
देख लिया था
मकड़ी जाने कहाँ गई थी
अपनी तहों के अंदर शायद
फँसी हुई थी
मैं क्या जानूँ
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Wazir Agha
As you were reading Ghar Shayari Shayari