jo maza chaahat mein hai
haasil mein us ko dhoondhna be-kaar hai
ho kahaan tum kis jahaan mein
kyun mujhe maaloom ho
dhund mein ho khwaab mein
ya aasmaan ki qaus mein
ya mauj ki gardish mein ho
tum haath ki rekha ke andar ho kahi
ya door sannaaton ke takraav se paida
an-suni awaaz ki rezish mein ho
chahe kahi bhi ho
meri chaahat ke phaile baazuon ke
halka-e-mauhoom mein maujood ho
lams mein hiddat bahut hai
aur sitaaron ki chubhan ka bhi mujhe ehsaas hai
band mutthi mein dabey moti
ki lazzat se bhi hoon main aashna
par bayaan kaise karoon
vo lutf jo chaahat ki phaili boss ki
madhosh-kun thandak mein hai
chaahat ke har dam
failte aafaq ki larzish mein hai
जो मज़ा चाहत में है
हासिल में उस को ढूँढना बे-कार है
हो कहाँ तुम किस जहाँ में
क्यूँ मुझे मालूम हो?
धुँद में हो ख़्वाब में
या आसमाँ की क़ौस में
या मौज की गर्दिश में हो
तुम हाथ की रेखा के अंदर हो कहीं
या दूर सन्नाटों के टकराव से पैदा
अन-सुनी आवाज़ की रेज़िश में हो
चाहे कहीं भी हो
मिरी चाहत के फैले बाज़ुओं के
हल्क़ा-ए-मौहूम में मौजूद हो!
लम्स में हिद्दत बहुत है
और सितारों की चुभन का भी मुझे एहसास है
बंद मुट्ठी में दबे मोती
की लज़्ज़त से भी हूँ मैं आश्ना
पर बयाँ कैसे करूँ
वो लुत्फ़ जो चाहत की फैली बॉस की
मदहोश-कुन ठंडक में है
चाहत के हर दम
फैलते आफ़ाक़ की लर्ज़िश में है!!
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Wazir Agha
As you were reading Ehsaas Shayari Shayari