kabootar maqbaro'n par raat din | कबूतर मक़बरों पर रात दिन

  - Wazir Agha

kabootar maqbaro'n par raat din
din raat rahte hain
musaafir chalte rahte hain
kabootar doodh aise par
siyah deewaar ki jaali se aati
dhoop ki kanghi se
jab hamvaar karte hain
to boodhe maqbaro'n par
kaai ke jungle mehakte hain
musaafir chalte rahte hain
ye banjaare
jinhen bas chand lamhe hi theharna hai
unhen roko nahin
ye mausami aabi parinde hain
jinhen maile paron ke saath udna hai
unhen rukna nahin aata
unhen rukna nahin aata

कबूतर मक़बरों पर रात दिन
दिन रात रहते हैं
मुसाफ़िर चलते रहते हैं
कबूतर दूध ऐसे पर
सियह दीवार की जाली से आती
धूप की कंघी से
जब हमवार करते हैं
तो बूढ़े मक़बरों पर
काई के जंगल महकते हैं
मुसाफ़िर चलते रहते हैं
ये बंजारे
जिन्हें बस चंद लम्हे ही ठहरना है
उन्हें रोको नहीं
ये मौसमी आबी परिंदे हैं
जिन्हें मैले परों के साथ उड़ना है
उन्हें रुकना नहीं आता
उन्हें रुकना नहीं आता

  - Wazir Agha

Garmi Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Wazir Agha

Similar Moods

As you were reading Garmi Shayari Shayari