kuchh log jo nakhwat se mujhe ghur rahe hain | कुछ लोग जो नख़वत से मुझे घूर रहे हैं

  - Yawar Abbas

kuchh log jo nakhwat se mujhe ghur rahe hain
maahol se shaayad ye bahut door rahe hain

kya kahiye ki kya ho gaya is shehar ka aalam
jis shehar mein ulfat ke bhi dastoor rahe hain

majboor kise kahte hain ye kaun bataaye
pooche koi un se ki jo majboor rahe hain

kuchh log sar-e-daar rahe hon to rahe hon
ham hain ki bahtar sar-e-toor rahe hain

hanste hue chehron pe na ja seenon mein un ke
haalaat ke takraav se naasoor rahe hain

ai shaikh ghaneemat hai agar ham ko samajh lo
ham mansab-e-tasdeeq pe maamoor rahe hain

ik tum ki khudaai ke bhi daave rahe tum ko
ik ham ki is iqaar se ma'zoor rahe hain

sukkaan-e-haram kya hain ye mujh se koi pooche
allah ke ghar mein bhi ye maghroor rahe hain

ehsaan bada bojh hai is khauf se yaavar
deewaar ke saaye se bhi ham door rahe hain

कुछ लोग जो नख़वत से मुझे घूर रहे हैं
माहौल से शायद ये बहुत दूर रहे हैं

क्या कहिए कि क्या हो गया इस शहर का आलम
जिस शहर में उल्फ़त के भी दस्तूर रहे हैं

मजबूर किसे कहते हैं ये कौन बताए
पूछे कोई उन से कि जो मजबूर रहे हैं

कुछ लोग सर-ए-दार रहे हों तो रहे हों
हम हैं कि बहर-तौर सर-ए-तूर रहे हैं

हँसते हुए चेहरों पे न जा सीनों में उन के
हालात के टकराव से नासूर रहे हैं

ऐ शैख़ ग़नीमत है अगर हम को समझ लो
हम मंसब-ए-तस्दीक़ पे मामूर रहे हैं

इक तुम कि ख़ुदाई के भी दावे रहे तुम को
इक हम कि इस इक़रार से मअज़ूर रहे हैं

सुक्कान-ए-हरम क्या हैं ये मुझ से कोई पूछे
अल्लाह के घर में भी ये मग़रूर रहे हैं

एहसान बड़ा बोझ है इस ख़ौफ़ से 'यावर'
दीवार के साए से भी हम दूर रहे हैं

  - Yawar Abbas

Valentine Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Yawar Abbas

As you were reading Shayari by Yawar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Yawar Abbas

Similar Moods

As you were reading Valentine Shayari Shayari