ye ghar bahut azeem tha | ये घर बहुत अज़ीम था

  - Zaheer Siddiqui

ye ghar bahut azeem tha
ye ghar bahut haseen tha
ki us ke ird-gird door door tak
koi makaan us se badh ke tha nahin
magar yahan ka chakh ajab rivaaj tha
the bin-bulaye ajnabi
ki jin ka ghar pe raaj tha
saje sajaaye kamre un ke shab-kade
vo sabz lawn phool ki kiyaariyaan
wasi'a sahan-o-saibaan
the un ke vaaste magar
khud apne ghar mein ajnabi
makin chaukhaton pe
raatein apni kaatte rahe
sadak gali ki khaak chaante rahe
vo bin-bulaye ajnabi
gadele bistaron pe
lazzat-e-shab-o-seher mein mast mast the

usi tarah na jaane kitni umr kaatne ke ba'ad
rafta rafta
sakht-o-sard chaukhaton ne
narm-o-garm bistaron ki gudgudi
ka zaa'ika samajh liya
dimaagh-o-dil ki khushk vaadiyon mein
aarzoo ke aabshaar gunguna uthe
siyaah-bakht raat
shooor ke junoon-e-shauq ke charaagh jal gaye
charaagh se kai charaagh jal gaye
b-yak zabaan
chaukhaton se ye mutaalba hua
ki ajnabi hamaare ghar ko chhod den
ye ghar hamaare khoon
aur hamaari haddiyon se hai
ye baat sun ke shab-kade larz gaye
thi chaunkne ki baat hi
ki saal-khurda andhi chaukhaton pe
raushni kahaan se aa gai
gali ki khaak
aasmaan pe abr ban ke chha gai
kahaan se zehen-e-na-rasa mein
baat aisi aa gai

vo ajnabi
nawaazishon inaayaton se
un ka josh sard jab na kar sake
to nit-nai sazaon aur dhamkiyon
gali gali lahu lahu
sadak sadak dhuaan dhuaan
magar junoon-e-shauq ki sada
zameen se aasmaan
sazaayein sakht theen magar
mutaalba aziz tha
nawaazishein inaayaten
sazaayein aur dhamkiyaan
sada-e-haq junoon-e-shauq daamanoń ki dhajjiyaan
muqaabla bhi khoob tha
kahaan zameen-e-hirs
aur kahaan junoon ka aasmaan
maal-e-kashmakash wahi hua
jo hona chahiye
vo ajnabi chale gaye
makin apne ghar ko pa ke
apne ghar ko pa ke
apne ghar mein aa gaye
vo ghar ke jis ke vaaste
laga di apni jaan bhi
jo mil gaya to yun hua
ki jaise kuchh nahin hua
ajeeb maajra hai ab
junoon-e-ishq ne charaagh-e-aarzoo jalaae the
usi ki tez lau se ye makin
apne ghar ko shauq se jala rahe hain
sabz lawn mein kyaariyon ke phool
apne paanv se kuchh rahe hain
saayebaan ke sutoon dhaa rahe hain
al-gharz
jo aaj ghar ka haal hai
hamaare paas lafz hi nahin
ki ham bayaan karein

jo sach kaho to aaj bhi
ye ghar bahut haseen hai
makin hi ajeeb hain
bade hi bad-naseeb hain

ये घर बहुत अज़ीम था
ये घर बहुत हसीन था
कि उस के इर्द-गिर्द दूर दूर तक
कोई मकान उस से बढ़ के था नहीं
मगर यहाँ का चख अजब रिवाज था
थे बिन-बुलाए अजनबी
कि जिन का घर पे राज था
सजे सजाए कमरे उन के शब-कदे
वो सब्ज़ लॉन फूल की कियारियाँ
वसीअ' सहन-ओ-साइबाँ
थे उन के वास्ते मगर
ख़ुद अपने घर में अजनबी
मकीन चौखटों पे
रातें अपनी काटते रहे
सड़क गली की ख़ाक छानते रहे
वो बिन-बुलाए अजनबी
गदेले बिस्तरों पे
लज़्ज़त-ए-शब-ओ-सहर में मस्त मस्त थे

उसी तरह न जाने कितनी उम्र काटने के बा'द
रफ़्ता रफ़्ता
सख़्त-ओ-सर्द चौखटों ने
नर्म-ओ-गर्म बिस्तरों की गुदगुदी
का ज़ाइक़ा समझ लिया
दिमाग़-ओ-दिल की ख़ुश्क वादियों में
आरज़ू के आबशार गुनगुना उठे
सियाह-बख़्त रात
शुऊर के जुनून-ए-शौक़ के चराग़ जल गए
चराग़ से कई चराग़ जल गए
ब-यक ज़बान
चौखटों से ये मुतालबा हुआ
कि अजनबी हमारे घर को छोड़ दें
ये घर हमारे ख़ून
और हमारी हड्डियों से है
ये बात सुन के शब-कदे लरज़ गए
थी चौंकने की बात ही
कि साल-ख़ूर्दा अंधी चौखटों पे
रौशनी कहाँ से आ गई
गली की ख़ाक
आसमाँ पे अब्र बन के छा गई
कहाँ से ज़ेहन-ए-ना-रसा में
बात ऐसी आ गई

वो अजनबी
नवाज़िशों इनायतों से
उन का जोश सर्द जब न कर सके
तो नित-नई सज़ाओं और धमकीयों
गली गली लहू लहू
सड़क सड़क धुआँ धुआँ
मगर जुनून-ए-शौक़ की सदा
ज़मीं से आसमाँ
सज़ाएँ सख़्त थीं मगर
मुतालबा अज़ीज़ था
नवाज़िशें इनायतें
सज़ाएँ और धमकियाँ
सदा-ए-हक़ जुनून-ए-शौक़ दामनों की धज्जियाँ
मुक़ाबला भी ख़ूब था
कहाँ ज़मीन-ए-हिर्स
और कहाँ जुनूँ का आसमाँ
मआल-ए-कश्मकश वही हुआ
जो होना चाहिए
वो अजनबी चले गए
मकीन अपने घर को पा के
अपने घर को पा के
अपने घर में आ गए
वो घर के जिस के वास्ते
लगा दी अपनी जान भी
जो मिल गया तो यूँ हुआ
कि जैसे कुछ नहीं हुआ
अजीब माजरा है अब
जुनून-ए-इश्क़ ने चराग़-ए-आरज़ू जलाए थे
उसी की तेज़ लौ से ये मकीन
अपने घर को शौक़ से जला रहे हैं
सब्ज़ लॉन में क्यारियों के फूल
अपने पाँव से कुछ रहे हैं
साएबान के सुतून ढा रहे हैं
अल-ग़रज़
जो आज घर का हाल है
हमारे पास लफ़्ज़ ही नहीं
कि हम बयाँ करें

जो सच कहो तो आज भी
ये घर बहुत हसीन है
मकीन ही अजीब हैं
बड़े ही बद-नसीब हैं

  - Zaheer Siddiqui

Phool Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Zaheer Siddiqui

Similar Moods

As you were reading Phool Shayari Shayari