aaj mahzoom ho gaya hai gham
phir bhi dekho khada hua hai gham
ham-nava jaise kyun nahin ho tum
aisa khushiyon se poochta hai gham
faila de teergi dilon mein vo
ik ajab sa koi diya hai gham
aankh bhar ke main jab bhi dekhoon use
khilkhilate hue dikha hai gham
aaine se mujhe mitaata raha
meri aankhon mein jo chhupa hai gham
muskuraahat ki lag na jaaye hawa
ashkon ki aag mein daba hai gham
toota dil vo dareecha hai jisse
aadatan roz jhaankta hai gham
nasq ho kuchh nashaat ki yaa par
varna har raaste pe khada hai gham
achyutam auron ka raqeeb ho par
apna to ek ham-nava hai gham
आज महज़ूम हो गया है ग़म
फिर भी देखो खड़ा हुआ है ग़म
हम-नवा जैसे क्यों नहीं हो तुम
ऐसा ख़ुशियों से पूछता है ग़म
फैला दे तीरगी दिलों में वो
इक अजब सा कोई दिया है ग़म
आँख भर के मैं जब भी देखूँ उसे
खिलखिलाते हुए दिखा है ग़म
आइने से मुझे मिटाता रहा
मेरी आँखों में जो छुपा है ग़म
मुस्कुराहट की लग न जाए हवा
अश्कों की आग में दबा है ग़म
टूटा दिल वो दरीचा है जिससे
आदतन रोज़ झाँकता है ग़म
नस्क़ हो कुछ नशात की याँ पर
वरना हर रस्ते पे खड़ा है ग़म
'अच्युतम' औरों का रक़ीब हो पर
अपना तो एक हम-नवा है ग़म
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'
our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'
As you were reading Raqeeb Shayari Shayari