ghataaein ro rahi hain teri furqat mein
shajar murjha rahe hain teri ghaflat mein
tu inko lams de apne hi gaalon ka
ye gul be rang phoote hain jo gurbat mein
mashaalein ban gaye hain vo sabhi jugnoo
ye teri teergi khaane ki aadat mein
vo pariyaan mar gayeen mayus khandar mein
tujhi se achha dikhne ki hi zeenat mein
talab mein tere ghurbat ka sabq seekha
wagarana kitni taqat thi ye daulat mein
tere haathon ke choone se hua maghroor
wahi insaan jo jeeta tha zillat mein
hai lahja taari tera har taraf jaise
koi taish-e-samandar ho qayamat mein
mujhe shamsheer ke ye ghaav sahne de
abhi to waqt hai meri shahaadat mein
tu ab to meri ulfat ka taqaza kar
main sab kuchh kho chuka teri vakaalat mein
घटाएँ रो रही हैं तेरी फु़र्क़त में
शजर मुरझा रहे हैं तेरी ग़फ़लत में
तू इनको लम्स दे अपने ही गालों का
ये गुल बे- रंग फूटे हैं जो गु़रबत में
मशालें बन गये हैं वो सभी जुगनू
ये तेरी तीरगी खाने की आदत में
वो परियाँ मर गयीं मायूस खंडर में
तुझी से अच्छा दिखने की ही ज़ीनत में
तलब में तेरे ग़ुरबत का सबक़ सीखा
वगरना कितनी ताक़त थी ये दौलत में
तेरे हाथों के छूने से हुआ मग़रूर
वही इंसान जो जीता था ज़िल्लत में
है लहजा तारी तेरा हर तरफ़ जैसे
कोई तैश-ए-समंदर हो क़यामत में
मुझे शमशीर के ये घाव सहने दे
अभी तो वक़्त है मेरी शहादत में
तू अब तो मेरी उल्फ़त का तक़ाज़ा कर
मैं सब कुछ खो चुका तेरी वकालत में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Maheshwar
our suggestion based on Maheshwar
As you were reading Aawargi Shayari Shayari