aise aise khayal rakhta hoon
dil mein mere jamaal rakhta hoon
machliyaan main pakad nahin paata
jo fate hain vo jaal rakhta hoon
vo khuda hai mujhe tu saabit kar
main ye seedha sawaal rakhta hoon
maut aati hai titliyon ko bhi
jin labon par main gaal rakhta hoon
kuchh nahin milta hai hunar se ab
so main kuchh aib paal rakhta hoon
rak's kar tu adeeb vehshat mein
duniya ko main sanbhaal rakhta hoon
ऐसे ऐसे ख़याल रखता हूँ
दिल में मेरे जमाल रखता हूँ
मछलियाँ मैं पकड़ नहीं पाता
जो फटे हैं वो जाल रखता हूँ
वो खु़दा है मुझे तू साबित कर
मैं ये सीधा सवाल रखता हूँ
मौत आती है तितलियों को भी
जिन लबों पर मैं गाल रखता हूँ
कुछ नहीं मिलता है हुनर से अब
सो मैं कुछ ऐब पाल रखता हूँ
रक़्स कर तू अदीब वहशत में
दुनिया को मैं सँभाल रखता हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Maheshwar
our suggestion based on Maheshwar
As you were reading Death Shayari Shayari