bhale hi der se tum se kiya izhaar shahzaadi | भले ही देर से तुम से किया इज़हार शहज़ादी

  - Akash Gagan Anjaan

bhale hi der se tum se kiya izhaar shahzaadi
magar bachpan se karte hain tumheen se pyaar shahzaadi

kahaani mein kahaanikaar ne sau rang dale hain
magar ismein hai sabse qeemati kirdaar shahzaadi

nahin aata tumhaara ab koi message ki kaise ho
kahaan itni bizee rahne lagi ho yaar shahzaadi

kabhi jab tang aa jaaun jahaan ki naukri se to
mere daftar ka ban jaana koi itwaar. shahzaadi

bana kar tumko itraaya khuda apni khudaai par
kaha usne badi dilkash hui taiyyaar shahzaadi

meri tasveer ko tum choomti ho be-khayaali mein
nazar aane lage hain ishq ke aasaar shahzaadi

teri saanso ki lay mein jab talak shaamil meri lay hai
tumhaara kaun ho saka hai daavedaar shahzaadi

भले ही देर से तुम से किया इज़हार शहज़ादी
मगर बचपन से करते हैं तुम्हीं से प्यार शहज़ादी

कहानी में कहानीकार ने सौ रंग डाले हैं
मगर इसमें है सबसे क़ीमती किरदार शहज़ादी

नहीं आता तुम्हारा अब कोई मैसेज कि कैसे हो
कहाँ इतनी बिज़ी रहने लगी हो यार शहज़ादी

कभी जब तंग आ जाऊँ जहाँ की नौकरी से तो
मेरे दफ़्तर का बन जाना कोई इतवार शहज़ादी

बना कर तुमको इतराया ख़ुदा अपनी ख़ुदाई पर
कहा उसने बड़ी दिलकश हुई तय्यार शहज़ादी

मेरी तस्वीर को तुम चूमती हो बे-ख़याली में
नज़र आने लगे हैं इश्क़ के आसार शहज़ादी

तेरी साँसो की लय में जब तलक शामिल मेरी लय है
तुम्हारा कौन हो सकता है दावेदार शहज़ादी

  - Akash Gagan Anjaan

Aankhein Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akash Gagan Anjaan

As you were reading Shayari by Akash Gagan Anjaan

Similar Writers

our suggestion based on Akash Gagan Anjaan

Similar Moods

As you were reading Aankhein Shayari Shayari