rasta kabhi kaamil na tha
par aisa mustaqbil na tha
beshak alag tha tu magar
uske liye qaabil na tha
neelaam hamne sab kiya
bas daanv par ik dil na tha
baandhe hue the haath paanv
par main kabhi ghaafil na tha
zindaan mein kyun ghar mila
main itna to jaahil na tha
pairo'n tale thi ik zameen
lekin koi saahil na tha
koshish nahin kuchh ki gai
paana use mushkil na tha
sabse tum ab kahte ho main
qaateel na tha qaateel na tha
mere sukhun ke darmiyaan
koi bhi gham shaamil na tha
रस्ता कभी कामिल न था
पर ऐसा मुस्तक़बिल न था
बेशक अलग था तू मगर
उसके लिए क़ाबिल न था
नीलाम हमने सब किया
बस दाँव पर इक दिल न था
बाँधे हुए थे हाथ पाँव
पर मैं कभी ग़ाफ़िल न था
ज़िन्दान में क्यूँ घर मिला
मैं इतना तो जाहिल न था
पैरों तले थी इक ज़मीं
लेकिन कोई साहिल न था
कोशिश नहीं कुछ की गई
पाना उसे मुश्किल न था
सबसे तुम अब कहते हो मैं
क़ातिल न था क़ातिल न था
मेरे सुख़न के दरमियाँ
कोई भी ग़म शामिल न था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ayush Aavart
our suggestion based on Ayush Aavart
As you were reading Raasta Shayari Shayari