mera ik gham khushi mein dost vo ijaad hona tha
sada dukh mein raha main to mujhe to shaad hona tha
kisi ke ishq mein mujhko yahan barbaad hona tha
mujhe is zindagi ke baad bhi aabaad hona tha
sabhi ko chahten theen apni-apni manzilon ki bas
mujhe to manzilon ki qaid se azaad hona tha
ki main bhi chahta tha sab dilon mein basna yaaro ab
mujhe sab ke dilon zehnon-gumaan mein yaad hona tha
jahaan ki chaah to mujhko na thi mere azeezon par
ki jeete-ji usi ik shakhs ki fariyaad hona tha
mujhe bhi chahten theen ek sheerin ki jahaan mein haan
mujhe bhi yaar ariz haan yahan farhad hona tha
मिरा इक ग़म ख़ुशी में दोस्त वो ईजाद होना था
सदा दुख में रहा मैं तो मुझे तो शाद होना था
किसी के इश्क़ में मुझको यहाँ बर्बाद होना था
मुझे इस ज़िन्दगी के बाद भी आबाद होना था
सभी को चाहतें थीं अपनी-अपनी मंज़िलों की बस
मुझे तो मंज़िलों की क़ैद से आज़ाद होना था
कि मैं भी चाहता था सब दिलों में बसना यारो अब
मुझे सब के दिलों ज़हनों-गुमाँ में याद होना था
जहाँ की चाह तो मुझको न थी मेरे अज़ीज़ों पर
कि जीते-जी उसी इक शख़्स की फ़रियाद होना था
मुझे भी चाहतें थीं एक शीरीं की जहाँ में हाँ
मुझे भी यार 'आरिज़' हाँ यहाँ फ़रहाद होना था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Azhan 'Aajiz'
our suggestion based on Azhan 'Aajiz'
As you were reading Dosti Shayari Shayari