mujhe to neend bhi aayi maheenon se nahin
ki main tum khwaab ab rishta hi teeno se nahin
mujhe sab zakham haan apne azeezo se mile
haseenon se nahin pyaare haseenon se nahin
zubaan se ittifaqan aah nikli hai faqat
kabhi bhi ye uthi aawaaz seenon se nahin
ki dil se aankh se dariya nikalta hai miyaan
bane in pattharon banjar zameenon se nahin
mera to bas t'alluq in kameenon se raha
haseenon aafreenon ham-nasheeno se nahin
nageena ho gumaan tum kar rahe ho yun agar
ki patthar se bana heera nageenon se nahin
मुझे तो नींद भी आई महीनों से नहीं
कि मैं, तुम, ख़्वाब अब रिश्ता ही तीनों से नहीं
मुझे सब ज़ख़्म हाँ अपने अज़ीज़ो से मिले
हसीनों से नहीं प्यारे हसीनों से नहीं
ज़ुबाँ से इत्तिफ़ाक़न आह निकली है फ़क़त
कभी भी ये उठी आवाज़ सीनों से नहीं
कि दिल से आँख से दरिया निकलता है मियाँ
बने इन पत्थरों बंजर ज़मीनों से नहीं
मिरा तो बस त'अल्लुक़ इन कमीनों से रहा
हसीनों आफ़रीनों हम-नशीनों से नहीं
नगीना हो गुमाँ तुम कर रहे हो यूँ अगर
कि पत्थर से बना हीरा नगीनों से नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Azhan 'Aajiz'
our suggestion based on Azhan 'Aajiz'
As you were reading Bhai Shayari Shayari