har soo beemaari nahin to aur kya hai dosto | हर सू बीमारी नहीं तो और क्या है दोस्तो - Basudeo Agarwal

har soo beemaari nahin to aur kya hai dosto
zindagi bhari nahin to aur kya hai dosto

rog se rishvat ke koi ab nahin mahfooz hai
ye mahamaari nahin to aur kya hai dosto

sar chhupaane ko na chat hai log bhookhe so rahe
muflisi zaari nahin to aur kya hai dosto

naariyaan asmat ko bechein bheekh bacche maangte
ghor bekaari nahin to aur kya hai dosto

rehnuma jinko banaya duh rahe janta ko ve
unki badkaari nahin to aur kya hai dosto

jo gaya hai beet usko bhool hum aage badhein
ye samajhdari nahin to aur kya hai dosto

jo watan ko bhool dushman se milaaye sur naman
unki makkaari nahin to aur kya hai dosto

हर सू बीमारी नहीं तो और क्या है दोस्तो
ज़िंदगी भारी नहीं तो और क्या है दोस्तो

रोग से रिश्वत के कोई अब नहीं महफ़ूज़ है
ये महामारी नहीं तो और क्या है दोस्तो

सर छुपाने को न छत है, लोग भूखे सो रहे
मुफ़लिसी ज़ारी नहीं तो और क्या है दोस्तो

नारियाँ अस्मत को बेचें, भीख बच्चे माँगते
घोर बेकारी नहीं तो और क्या है दोस्तो

रहनुमा जिनको बनाया दुह रहे जनता को वे
उनकी बदकारी नहीं तो और क्या है दोस्तो

जो गया है बीत उसको भूल हम आगे बढ़ें
ये समझदारी नहीं तो और क्या है दोस्तो

जो वतन को भूल दुश्मन से मिलाये सुर 'नमन'
उनकी मक्कारी नहीं तो और क्या है दोस्तो

- Basudeo Agarwal
0 Likes

Zindagi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Basudeo Agarwal

As you were reading Shayari by Basudeo Agarwal

Similar Writers

our suggestion based on Basudeo Agarwal

Similar Moods

As you were reading Zindagi Shayari Shayari