badgumaani ki ab intiha chahiye | बदगुमानी की अब इंतिहा चाहिए - Basudeo Agarwal

badgumaani ki ab intiha chahiye
zindagi ki nayi ibtida chahiye

loo si nafrat ki jheli bahut aandhiyaan
thand de ab vo baad-e-saba chahiye

meri naakaamiyon se bhari kashti ko
paar kar de vo ab nakhuda chahiye

raah-e-ulfat mein ab tak miliin thokren
ishq ka aakhiri marhala chahiye

desh ka aur khud ka utha sar chaloon
dil mein waisi hi mujhko ana chahiye

nestanabood dushman ko karte samay
jaan de main sakoon vo kaza chahiye

pesh sabse muhabbat se aaya naman
kuch to usko bhi iska sila chahiye

बदगुमानी की अब इंतिहा चाहिए
ज़िंदगी की नयी इब्तिदा चाहिए

लू सी नफ़रत की झेलीं बहुत आँधियाँ
ठंड दे अब वो बाद-ए-सबा चाहिए

मेरी नाकामियों से भरी कश्ती को
पार कर दे वो अब नाखुदा चाहिए

राह-ए-उल्फ़त में अब तक मिलीं ठोकरें
इश्क़ का आखिरी मरहला चाहिए

देश का और खुद का उठा सर चलूँ
दिल में वैसी ही मुझको अना चाहिए

नेस्तनाबूद दुश्मन को करते समय
जान दे मैं सकूँ वो कज़ा चाहिए

पेश सबसे मुहब्बत से आया 'नमन'
कुछ तो उसको भी इसका सिला चाहिए

- Basudeo Agarwal
1 Like

Zindagi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Basudeo Agarwal

As you were reading Shayari by Basudeo Agarwal

Similar Writers

our suggestion based on Basudeo Agarwal

Similar Moods

As you were reading Zindagi Shayari Shayari