main ujaale ki liye chaah safar par nikla | मैं उजाले की लिए चाह सफ़र पर निकला - Basudeo Agarwal

main ujaale ki liye chaah safar par nikla
par andheron mein bhatkne ka muqaddar nikla

jo dikhaata tha sada ban ke mera hamraahi
meri raahon ka vo sabse bada patthar nikla

dost kahlaate jo the un pe raha ab na yakeen
aazmaaya jise bhi zahr ka khanjar nikla

paas jiske bhi gaya preet ka dariya main samajh
par ana mein hi machalta vo samandar nikla

kaarwaan zindagi ki raahon ka main samjha tha jise
nafraton se hi bhara bas vo to lashkar nikla

jeet ke jo bhi yahan aaya tha rahbar ban ke
sirf adnaa sa hukoomat ka vo chaakar nikla

doston par tha bada naaz naman ko hardam
kaam padte hi har_ik aankh bacha kar nikla

मैं उजाले की लिए चाह सफ़र पर निकला
पर अँधेरों में भटकने का मुकद्दर निकला

जो दिखाता था सदा बन के मेरा हमराही
मेरी राहों का वो सबसे बड़ा पत्थर निकला

दोस्त कहलाते जो थे उन पे रहा अब न यकीं
आजमाया जिसे भी, जह्र का खंजर निकला

पास जिसके भी गया प्रीत का दरिया मैं समझ
पर अना में ही मचलता वो समंदर निकला

कारवाँ ज़ीस्त की राहों का मैं समझा था जिसे
नफ़रतों से ही भरा बस वो तो लश्कर निकला

जीत के जो भी यहाँ आया था रहबर बन के
सिर्फ अदना सा हुकूमत का वो चाकर निकला

दोस्तों पर था बड़ा नाज़ 'नमन' को हरदम
काम पड़ते ही हर_इक आँख बचा कर निकला

- Basudeo Agarwal
0 Likes

Adaa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Basudeo Agarwal

As you were reading Shayari by Basudeo Agarwal

Similar Writers

our suggestion based on Basudeo Agarwal

Similar Moods

As you were reading Adaa Shayari Shayari