main hoon jawaab dhoondh raha dar-b-dar yahan | मैं हूँ जवाब ढूँढ रहा दर-ब-दर यहाँ

  - Betaab Murtaza

main hoon jawaab dhoondh raha dar-b-dar yahan
main hoon sawaal pooch raha ho nidar yahan

bole zamaana bas kaha jo maan le use
mat pooch ab sawaal kisi se idhar yahan

jhoothi tasalli ka nahin qaayal kabhi main to
hargiz bane na mera kabhi koi ghar yahan

sab jhooth jo kahe na kabhi ban sake vo haq
sacche jawaab hi se main rokun safar yahan

shaayad sawaal ka na kahi bhi jawaab hai
samjhaane par kidhar sune yah dil magar yahan

मैं हूँ जवाब ढूँढ रहा दर-ब-दर यहाँ
मैं हूँ सवाल पूछ रहा हो निडर यहाँ

बोले ज़माना बस कहा जो मान ले उसे
मत पूछ अब सवाल किसी से इधर यहाँ

झूठी तसल्ली का नहीं क़ायल कभी मैं तो
हरगिज़ बने न मेरा कभी कोई घर यहाँ

सब झूठ जो कहे न कभी बन सके वो हक़
सच्चे जवाब ही से मैं रोकूँ सफ़र यहाँ

शायद सवाल का न कहीं भी जवाब है
समझाने पर किधर सुने यह दिल मगर यहाँ

  - Betaab Murtaza

Jhooth Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Betaab Murtaza

As you were reading Shayari by Betaab Murtaza

Similar Writers

our suggestion based on Betaab Murtaza

Similar Moods

As you were reading Jhooth Shayari Shayari