ho jaata shaamon ko savera yaar se
iqaar vo karta nahin izhaar se
ik baar kehta hai mujhe mat yaad kar
ik baar kehta hai bulaana pyaar se
hamse nahin hoga bichhad kar roothna
phoolon bina rishta bhala kya khaar se
saansen nahin chalti kalam ki shauq se
bharna pada mujhko ise aazaar se
tum insey kya naata nibhaate ho bhala
tum mit nahin paaye kabhi ash'aar se
is haath ki usko zaroorat ab nahin
aansu mita koi gaya rukhsaar se
sab kuchh mila chetan wafa ko chhod kar
ab laut aa khaali bhare-bazaar se
हो जाता शामों को सवेरा यार से
इक़रार वो करता नहीं इज़हार से
इक बार कहता है मुझे मत याद कर
इक बार कहता है बुलाना प्यार से
हमसे नहीं होगा बिछड़ कर रूठना
फूलों बिना रिश्ता भला क्या ख़ार से
साँसें नहीं चलती कलम की शौक़ से
भरना पड़ा मुझको इसे आज़ार से
तुम इनसे क्या नाता निभाते हो भला
तुम मिट नहीं पाए कभी अश'आर से
इस हाथ की उसको ज़रूरत अब नहीं
आँसू मिटा कोई गया रुख़्सार से
सब कुछ मिला 'चेतन' वफ़ा को छोड़ कर
अब लौट आ ख़ाली भरे-बाज़ार से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Chetan
our suggestion based on Chetan
As you were reading Romance Shayari Shayari