aap ki yaad se kuchh aise juda hona pada | आप की याद से कुछ ऐसे जुदा होना पड़ा

  - Dard Faiz Khan

aap ki yaad se kuchh aise juda hona pada
khaak mein mil ke mujhe khud hi fana hona pada

sozan o khaar chubhan nakhat-e-gul baad-e-saba
dekh le mujhko tire ishq mein kya hona pada

ek lamhe ko guzarne mein bhi ik arsa laga
jab kisi qais ko leila se juda hona pada

jab khizaon mein bahaaron ki talab ham se hui
dard-e-dil ko wahan kuchh aur siva hona pada

munkiron par jo kabhi toot pada koi azaab
phir unhen bhi to parastaar-e-khuda hona pada

zakhm dil ka bhi rahe uska mudaava bhi hue
mujh mareez-e-jaan ko khud apni dava hona pada

khidmat-e-deen ke liye chun liya allah ne jab
karbala waalon ko yasrib se juda hona pada

faiz jab sang taraashi pe hua aamada
ek patthar ko bhi phir besh-baha hona pada

आप की याद से कुछ ऐसे जुदा होना पड़ा
ख़ाक में मिल के मुझे ख़ुद ही फ़ना होना पड़ा

सोज़न ओ ख़ार चुभन नकहत-ए-गुल बाद-ए-सबा
देख ले मुझको तिरे इश्क़ में क्या होना पड़ा

एक लम्हे को गुज़रने में भी इक अर्सा लगा
जब किसी क़ैस को लैला से जुदा होना पड़ा

जब ख़िज़ाओं में बहारों की तलब हम से हुई
दर्द-ए-दिल को वहाँ कुछ और सिवा होना पड़ा

मुनकिरों पर जो कभी टूट पड़ा कोई अज़ाब
फिर उन्हें भी तो परस्तार-ए-ख़ुदा होना पड़ा

ज़ख्म दिल का भी रहे उसका मुदावा भी हुए
मुझ मरीज़-ए-जाँ को ख़ुद अपनी दवा होना पड़ा

खिदमत-ए-दीं के लिए चुन लिया अल्लाह ने जब
कर्बला वालों को यसरिब से जुदा होना पड़ा

फ़ैज़ जब संग तराशी पे हुआ आमादा
एक पत्थर को भी फिर बेश-बहा होना पड़ा

  - Dard Faiz Khan

Zakhm Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dard Faiz Khan

As you were reading Shayari by Dard Faiz Khan

Similar Writers

our suggestion based on Dard Faiz Khan

Similar Moods

As you were reading Zakhm Shayari Shayari