tumhaari yaad mein aankhen bhigo raha hoon main
magar zamaana samajhta hai ro raha hoon main
kamaal ye hai ki khud apne dil ke taaron mein
haseen ishq ke moti piro raha hoon main
kati hai umr ye saari buton ki ulfat mein
magar ab apne gunaahon ko dho raha hoon main
mere yaqeen ka is se hi imtihaan hoga
bhanwar mein ishq ke kashti dubo raha hoon main
mile to us ko nishaani vo doon mohabbat ki
utha ke shaane pe apne jo dho raha hoon main
khyaal aablaa-paai hai har qadam mujh ko
so apni raah mein kaante bo raha hoon main
laga rahe hain vo mehndi khushi ki haathon mein
sukoon dil ka magar faiz kho raha hoon main
तुम्हारी याद में आँखें भिगो रहा हूँ मैं
मगर ज़माना समझता है रो रहा हूँ मैं
कमाल ये है कि ख़ुद अपने दिल के तारों में
हसीन इश्क़ के मोती पिरो रहा हूँ मैं
कटी है उम्र ये सारी बुतों की उल्फ़त में
मगर अब अपने गुनाहों को धो रहा हूँ मैं
मेरे यक़ीन का इस से ही इम्तिहाँ होगा
भँवर में इश्क़ के कश्ती डुबो रहा हूँ मैं
मिले तो उस को निशानी वो दूँ मोहब्बत की
उठा के शाने पे अपने जो ढो रहा हूँ मैं
ख़्याल आबला-पाई है हर क़दम मुझ को
सो अपनी राह में काँटे बो रहा हूँ मैं
लगा रहे हैं वो मेंहदी ख़ुशी की हाथों में
सुकून दिल का मगर फैज़ खो रहा हूँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dard Faiz Khan
our suggestion based on Dard Faiz Khan
As you were reading Dil Shayari Shayari