apni haalat par main ab hairaan hoon | अपनी हालत पर मैं अब हैरान हूंँ

  - Dard Faiz Khan

apni haalat par main ab hairaan hoon
aisa lagta hai bahut be jaan hoon

ho sake to aake mil le ek baar
chand lamhon ka hi ab mehmaan hoon

mujh mein ahl-e-mohabbat na aayi aaj tak
main ne maana main bahut naadaan hoon

aur kab tak sah sakunga gham ki maar
main koi patthar nahin insaan hoon

mujhko toofaanon ne ghera umr bhar
isliye main khud hi ab toofaan hoon

zulm dhaaye faiz par sab ne bahut
kyun kahoon main be sabab halkaan hoon

अपनी हालत पर मैं अब हैरान हूंँ
ऐसा लगता है बहुत बे जान हूंँ

हो सके तो आके मिल ले एक बार
चंँद लम्हों का ही अब मेहमान हूंँ

मुझ में हुश्यारी न आई आज तक
मैं ने माना मैं बहुत नादान हूंँ

और कब तक सह सकूंँगा ग़म की मार
मैं कोई पत्थर नहीं इंसान हूंँ

मुझको तूफ़ानों ने घेरा उम्र भर
इसलिए मैं ख़ुद ही अब तूफ़ान हूंँ

ज़ुल्म ढाए 'फ़ैज़' पर सब ने बहुत
क्यों कहूंँ मैं बे सबब हलकान हूंँ

  - Dard Faiz Khan

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dard Faiz Khan

As you were reading Shayari by Dard Faiz Khan

Similar Writers

our suggestion based on Dard Faiz Khan

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari