husn waale bazm mein inkaar hi karte rahe
ishq waale ishq ka izhaar hi karte rahe
jeena marna apna ham dushwaar hi karte rahe
un ki har ik baat ka iqaar hi karte rahe
ham ko dekho ham unhin par ho gaye dil se fida
jo hamaari zaat ko mismar hi karte rahe
tere dil mein kaun hai ye to kabhi poocha nahin
jaan-e-jaan ham to tira deedaar hi karte rahe
ham sada chunte rahe sab khaar jinki raah se
vo hamaari raah ko purkhaar hi karte rahe
mere apnon ne kiya hai mujhe pe ye kaisa sitam
vo mujhe is paar se us paar hi karte rahe
koi bhi unke marz ki la nahin paaya dava
vo to chaara-gar ko bhi beemaar hi karte rahe
chand lamhe bhi sukoon ke mil na paaye unke saath
faiz ko vo dard se do chaar hi karte rahe
हुस्न वाले बज़्म में इंकार ही करते रहे
इश्क़ वाले इश्क़ का इज़हार ही करते रहे
जीना मरना अपना हम दुश्वार ही करते रहे
उन की हर इक बात का इक़रार ही करते रहे
हम को देखो हम उन्हीं पर हो गए दिल से फ़िदा
जो हमारी ज़ात को मिसमार ही करते रहे
तेरे दिल में कौन है ये तो कभी पूछा नहीं
जान-ए-जाँ हम तो तिरा दीदार ही करते रहे
हम सदा चुनते रहे सब ख़ार जिनकी राह से
वो हमारी राह को पुरख़ार ही करते रहे
मेरे अपनों ने किया है मुझे पे ये कैसा सितम
वो मुझे इस पार से उस पार ही करते रहे
कोई भी उनके मरज़ की ला नहीं पाया दवा
वो तो चारा-गर को भी बीमार ही करते रहे
चंद लम्हें भी सुकूँ के मिल न पाए उनके साथ
"फ़ैज़" को वो दर्द से दो चार ही करते रहे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dard Faiz Khan
our suggestion based on Dard Faiz Khan
As you were reading Dil Shayari Shayari