tire jalwon ke charche ho rahe hain maah paaron mein | तिरे जलवों के चर्चे हो रहे हैं माह पारों में

  - Dard Faiz Khan

tire jalwon ke charche ho rahe hain maah paaron mein
machalte hain tire honton ke nagme aabshaaron mein

zameen o aasmaan range gaye hain rang se tere
tira hi husn aaya hai nikhar kar lala zaaron mein

tire nazdeek aa jaane se is dil ka ye aalam hai
ki jaise naachte hain mor khush ho kar bahaaron mein

falak par kahkashaan ki maang bharne kaun aaya hai
ajab ik khalbali si mach gai hai kyun sitaaron mein

tumhaara shukriya tum aa gaye ho bar sar-e-mahfil
hui hai yak b yak halchal si saaz-e-dil ke taaron mein

inaayat hai khuda ki ye tumhaara husn-e-la-saani
alag sabse nazar aate ho tum mujh ko hazaaron mein

nazar mein faiz aa jaata hai manzar qais leila ka
musaafir jab safar karta hai koi regzaaron mein

तिरे जलवों के चर्चे हो रहे हैं माह पारों में
मचलते हैं तिरे होंटों के नग़्मे आबशारों में

ज़मीन ओ आसमाँ रंगे गए हैं रंग से तेरे
तिरा ही हुस्न आया है निखर कर लाला ज़ारों में

तिरे नज़दीक आ जाने से इस दिल का ये आलम है
कि जैसे नाचते हैं मोर ख़ुश हो कर बहारों में

फ़लक पर कहकशाँ की माँग भरने कौन आया है
अजब इक खलबली सी मच गई है क्यों सितारों में

तुम्हारा शुक्रिया तुम आ गए हो बर सर-ए-महफ़िल
हुई है यक ब यक हलचल सी साज़-ए-दिल के तारों में

इनायत है ख़ुदा की, ये तुम्हारा हुस्न-ए-ला-सानी
अलग सबसे नज़र आते हो तुम मुझ को हज़ारों में

नज़र में फ़ैज़ आ जाता है मंज़र क़ैस लैला का
मुसाफ़िर जब सफ़र करता है कोई रेगज़ारों में

  - Dard Faiz Khan

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dard Faiz Khan

As you were reading Shayari by Dard Faiz Khan

Similar Writers

our suggestion based on Dard Faiz Khan

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari