tira hai husn munfarid tira shabaab munfarid | तिरा है हुस्न मुनफ़रिद तिरा शबाब मुनफ़रिद

  - Dard Faiz Khan

tira hai husn munfarid tira shabaab munfarid
jo teri aankh se mile vo hai sharaab munfarid

vo ek shakhs khaas hai mere liye bhi doston
hai jis tarah hazaar phoolon mein gulaab munfarid

shumaar karte hain sitam karam ko bhool jaate hain
janab aap ka bhi hai bada hisaab munfarid

sabhi ka rasta hain yahan to khuld ka hi raasta
mile hain ham ko is jahaan mein azaab munfarid

nazar ke saamne hain aap aur saamne nahin
ata ho ham ko jalwa munfarid hijaab munfarid

jo ishq mein yahan pe haarega vo jeet jaayega
ye ishq hai miyaan yahan ka hai nisaab munfarid

tira sawaal tha hamaare beech ab hai rishta kya
to kah ke ishq faiz ne diya jawaab munfarid

तिरा है हुस्न मुनफ़रिद तिरा शबाब मुनफ़रिद
जो तेरी आँख से मिले वो है शराब मुनफ़रिद

वो एक शख़्स ख़ास है मिरे लिए भी दोस्तों
है जिस तरह हज़ार फूलों में गुलाब मुनफ़रिद

शुमार करते हैं सितम करम को भूल जाते हैं
जनाब आप का भी है बड़ा हिसाब मुनफ़रिद

सभी का रस्ता हैं यहाँ तो ख़ुल्द का ही रास्ता
मिले हैं हम को इस जहान में अज़ाब मुनफ़रिद

नज़र के सामने हैं आप और सामने नहीं
अता हो हम को जलवा मुनफ़रिद हिजाब मुनफ़रिद

जो इश्क़ में यहाँ पे हारेगा वो जीत जाएगा
ये इश्क़ है मियाँ यहाँ का है निसाब मुनफ़रिद

तिरा सवाल था हमारे बीच अब है रिश्ता क्या
तो कह के इश्क़ फैज़ ने दिया जवाब मुनफ़रिद

  - Dard Faiz Khan

Husn Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dard Faiz Khan

As you were reading Shayari by Dard Faiz Khan

Similar Writers

our suggestion based on Dard Faiz Khan

Similar Moods

As you were reading Husn Shayari Shayari