tamasha khud ko jo ham soo ae daar karte hain | तमाशा ख़ुद को जो हम सू ए दार करते हैं

  - Dard Faiz Khan

tamasha khud ko jo ham soo ae daar karte hain
jo shaadma hain unhen sogwaar karte hain

vo hamko chhod gaya hai parind ki maanind
darakht ban ke so ham intzaar karte hain

bhula sake nahin ham tujhko ek bhi lamha
magar bhulaane ki koshish hazaar karte hain

kabhi ye socha hai tu ne ki ham se deewane
kisi ke ishq mein kyun jaan nisaar karte hain

yaqeen kijeye na kijeye ye aapki marzi
mere charaagh hawa ka shikaar karte hain

jo poochte hain ki karte hain kitna pyaar unse
shumaar kaise ho jab be shumaar karte hain

vo faiz karte hain vaada har ek hi jhoota
khata hamaari jo ham aitbaar karte hain

तमाशा ख़ुद को जो हम सू ए दार करते हैं
जो शादमा हैं उन्हें सोगवार करते हैं

वो हमको छोड़ गया है परिंद की मानिंद
दरख़्त बन के सो हम इंतज़ार करते हैं

भुला सके नहीं हम तुझको एक भी लम्हा
मगर भुलाने की कोशिश हज़ार करते हैं

कभी ये सोचा है तू ने कि हम से दीवाने
किसी के इश्क़ में क्यों जाँ निसार करते हैं

यक़ीन कीजे न कीजे ये आपकी मर्ज़ी
मिरे चराग़ हवा का शिकार करते हैं

जो पूछते हैं कि करते हैं कितना प्यार उनसे
शुमार कैसे हो जब बे शुमार करते हैं

वो फै़ज़ करते हैं वादा हर एक ही झूठा
ख़ता हमारी जो हम ऐतबार करते हैं

  - Dard Faiz Khan

Intezaar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dard Faiz Khan

As you were reading Shayari by Dard Faiz Khan

Similar Writers

our suggestion based on Dard Faiz Khan

Similar Moods

As you were reading Intezaar Shayari Shayari