ek-ek kar ke ek-ek kar ke chhod doon | एक-एक कर के एक-एक कर के छोड़ दूँ

  - Deep kamal panecha

ek-ek kar ke ek-ek kar ke chhod doon
saans dil ye jaan in sabhi se rishta tod doon

mere had mein hain nahin wagarana apna dil main khud
seene se nikaal mutthi mein daba ke fod doon

koi zakhm hain nahin asal mein phir bhi gham lage
jhoothe gham ke wajh chahta hoon khooon nichod doon

apna sar main fodu khud patak patak ke bheet pe
aur phir main iske parche utha ke jod doon

khud mujhe sataaun itna main rulaau'n itna main
khud karoon pareshaan aur phir pareshaan chhod doon

एक-एक कर के एक-एक कर के छोड़ दूँ
साँस दिल ये जान इन सभी से रिश्ता तोड़ दूँ

मेरे हद में हैं नहीं वगरना अपना दिल मैं ख़ुद
सीने से निकाल मुठ्ठी में दबा के फोड़ दूँ

कोई ज़ख़्म हैं नहीं असल में फिर भी ग़म लगे
झूठे ग़म के वज्ह चाहता हूँ खूँ निचोड़ दूँ

अपना सर मैं फोड़ू ख़ुद पटक पटक के भीत पे
और फिर मैं इसके परख़चे उठा के जोड़ दूँ

ख़ुद मुझे सताऊँ इतना मैं रुलाऊँ इतना मैं
ख़ुद करूँ परेशाँ और फिर परेशाँ छोड़ दूँ

  - Deep kamal panecha

Aah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Deep kamal panecha

As you were reading Shayari by Deep kamal panecha

Similar Writers

our suggestion based on Deep kamal panecha

Similar Moods

As you were reading Aah Shayari Shayari