ai khuda ek dam saans bhar vaar de
mere mehboob se hijr mein maar de
ishq taqdeer mein tune hi na likha
baat karne ke khaatir to ik yaar de
koi deewaar khaabo mein mere nahin
fod ke sar sakoon mar vo deewaar de
saare nafrat hi karte hain mere se to
ab jahannam ki tah mein mujhe taar de
mat khafa rah khuda thodi rahmat to rakh
mar-mite mujh pe ik aisa dildaar de
main nahin khaas kirdaar kisse ka is
mujh ko is kisse ka khaas kirdaar de
deep ka cheer ke dil bahut khush hain vo
uske khanzar mein ziyaada bahut dhaar de
ऐ ख़ुदा एक दम साँस भर वार दे
मेरे महबूब से हिज्र में मार दे
इश्क़ तक़दीर में तूने ही न लिखा
बात करने के ख़ातिर तो इक यार दे
कोई दीवार ख़्वाबों में मेरे नहीं
फोड़ के सर सकूँ मर वो दीवार दे
सारे नफ़रत ही करते हैं मेरे से तो
अब जहन्नम की तह में मुझे तार दे
मत खफ़ा रह ख़ुदा, थोड़ी रहमत तो रख
मर-मिटे मुझ पे इक ऐसा दिलदार दे
मैं नहीं ख़ास किरदार किस्से का इस
मुझ को इस किस्से का ख़ास किरदार दे
"दीप" का चीर के दिल बहुत खुश हैं वो
उसके खंज़र में ज़्यादा बहुत धार दे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Deep kamal panecha
our suggestion based on Deep kamal panecha
As you were reading Valentine Shayari Shayari