ye sardi ke mausam ki baarish | ये सर्दी के मौसम की बारिश - Deep kamal panecha

ye sardi ke mausam ki baarish
meri hi hai shaayad guzaarish

na aaye kahi chain mujh ko
so barsaat ne ki hai saazish

rahe tu sada saath mere
ye meri ghazal ki hai khwaahish

kamar pe diya til khuda ne
tire husn ki ki numaish

khafa karti kah ke mujhe jhooth
juda karne ki karti saazish

ye kyun karte ho poocha maine
kahein aadaton ki hai warzish

mujhe rahna hai uske dil mein
lagaataar karta hoon koshish

yaqeen kaise khud pe dilaaun
vo tode zara apni bandish

vo ik baar apna kahein bas
karunga umar bhar parastish

zara dekh ismein utar ke
muhabbat badi pyaari laghzish

nahin baat ki aaj usse
hai kuch deep ke dil mein ranzish

ये सर्दी के मौसम की बारिश
मिरी ही है शायद गुज़ारिश

न आए कहीं चैन मुझ को
सो बरसात ने की है साज़िश

रहे तू सदा साथ मेरे
ये मेरी ग़ज़ल की है ख़्वाहिश

कमर पे दिया तिल ख़ुदा ने
तिरे हुस्न की, की नुमाइश

खफ़ा करती कह के मुझे झूट
जुदा करने की करती साज़िश

ये क्यूँ करते हो पूछा मैंने
कहें आदतों की है वर्ज़िश

मुझे रहना है उसके दिल में
लगातार करता हूँ कोशिश

यक़ीं कैसे ख़ुद पे दिलाऊँ
वो तोड़े ज़रा अपनी बंदिश

वो इक बार अपना कहें बस
करूँगा उमर भर परस्तिश

ज़रा देख इसमें उतर के
मुहब्बत बड़ी प्यारी लग़्ज़िश

नहीं बात की आज उससे
है कुछ "दीप" के दिल में रंज़िश

- Deep kamal panecha
1 Like

Aitbaar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Deep kamal panecha

As you were reading Shayari by Deep kamal panecha

Similar Writers

our suggestion based on Deep kamal panecha

Similar Moods

As you were reading Aitbaar Shayari Shayari