maut ka intizaar kab tak ho
zindagi se piyaar kab tak ho
phool dam tod hi chuke saare
phir chaman mein bahaar kab tak ho
thaan li hai tabaah hona hai
dard seene se paar kab tak ho
tu nikalta nahin hai dil se par
aas bhi gham-gusaar kab tak ho
koodkar bas nikalne waali hai
jaan par ikhtiyaar kab tak ho
pad chuki hai nigaah par soojan
neend se bhi qaraar kab tak ho
kaam bhi koi hai nahin jaanib
ab guzaara udhaar kab tak ho
मौत का इंतिज़ार कब तक हो
ज़िंदगी से पियार कब तक हो
फूल दम तोड़ ही चुके सारे
फिर चमन में बहार कब तक हो
ठान ली है तबाह होना है
दर्द सीने से पार कब तक हो
तू निकलता नहीं है दिल से पर
आस भी ग़म-गुसार कब तक हो
कूदकर बस निकलने वाली है
जान पर इख़्तियार कब तक हो
पड़ चुकी है निगाह पर सूजन
नींद से भी क़रार कब तक हो
काम भी कोई है नहीं 'जानिब'
अब गुज़ारा उधार कब तक हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Janib Vishal
our suggestion based on Janib Vishal
As you were reading Ummeed Shayari Shayari