ghar se daftar aur phir daftar se ghar kaafi hai kya | घर से दफ़्तर और फिर दफ़्तर से घर काफ़ी है क्या

  - KARAN

ghar se daftar aur phir daftar se ghar kaafi hai kya
zindagi tu hi bata itna safar kaafi hai kya

kaun samjhega meri tanhaaiyon ke masale
hai zamaana yun to mere saath par kaafi hai kya

aajkal mere ta'aaqub mein hain aankhen yaar ki
ibtidaai ishq mein itna asar kaafi hai kya

jal ke marna chahiye tha garmi-e-ikhlaas mein
haif deewaana hua khasta-jigar kaafi hai kya

husn tujh mein aur thodi dil-kashi darkaar hai
aatishee-abroo qayaamat-si nazar kaafi hai kya

ishq mere aur tujhko kya wazeefa chahiye
dekh aakhir ho gaya main dar-b-dar kaafi hai kya

phir anaasir ne badal li soorat-e-tarteeb aur
aalam-e-hasti hua zer-o-zabar kaafi hai kya

be-dili se aaye the ham bhi kabhi seharaaon mein
dil to yaa lagne laga apna magar kaafi hai kya

haan kabhi jhukta na tha khalk-e-khuda ke saamne
tere sajdon mein jhuka jaata hai sar kaafi hai kya

kya karoon aisa ki apne dil mein vo rakh le mujhe
ai karn ye sher-goi ka hunar kaafi hai kya

घर से दफ़्तर और फिर दफ़्तर से घर काफ़ी है क्या
ज़िन्दगी तू ही बता इतना सफ़र काफ़ी है क्या

कौन समझेगा मेरी तन्हाइयों के मसअले
है ज़माना यूँ तो मेरे साथ पर काफ़ी है क्या

आजकल मेरे तआक़ुब में हैं आँखें यार की
इब्तिदाई इश्क़ में इतना असर काफ़ी है क्या

जल के मरना चाहिए था गर्मी-ए-इख़लास में
हैफ़ दीवाना हुआ ख़स्ता-जिगर काफ़ी है क्या

हुस्न तुझ में और थोड़ी दिल-कशी दरकार है
आतिशी-अबरू क़यामत-सी नज़र काफ़ी है क्या

इश्क़ मेरे और तुझको क्या वज़ीफ़ा चाहिए
देख आख़िर हो गया मैं दर-ब-दर काफ़ी है क्या

फिर अनासिर ने बदल ली सूरत-ए-तरतीब और
आलम-ए-हस्ती हुआ ज़ेर-ओ-ज़बर काफ़ी है क्या

बे-दिली से आए थे हम भी कभी सहराओं में
दिल तो याँ लगने लगा अपना मगर काफ़ी है क्या

हाँ कभी झुकता न था ख़ल्क़-ए-ख़ुदा के सामने
तेरे सजदों में झुका जाता है सर काफ़ी है क्या

क्या करूँ ऐसा कि अपने दिल में वो रख ले मुझे
ऐ करन ये शेर-गोई का हुनर काफ़ी है क्या

  - KARAN

Musafir Shayari

Our suggestion based on your choice

More by KARAN

As you were reading Shayari by KARAN

Similar Writers

our suggestion based on KARAN

Similar Moods

As you were reading Musafir Shayari Shayari