anaginat upkaar bhool jaayen
doston ka pyaar bhool jaayen
beta to naadaan hai magar ham
baap ka kirdaar bhool jaayen
ek ghalti ho to theek sahab
boliye har baar bhool jaayen
vaar jisse aapne kiya hai
teer ya talwaar bhool jaayen
naukri to theek hai magar ye
yaar ka itwaar. bhool jaayen
pyaar se milte rahein ye nafrat
aaiye sarkaar bhool jaayen
kisne gaddaari huzoor ki thi
kaun tha doodmaan bhool jaayen
zindagi kya hai kumar bhaai
khushnuma sansaar bhool jaayen
अनगिनत उपकार भूल जाएँ
दोस्तों का प्यार भूल जाएँ
बेटा तो नादान है मगर हम
बाप का किरदार भूल जाएँ
एक ग़लती हो तो ठीक साहब
बोलिए हर बार भूल जाएँ
वार जिससे आपने किया है
तीर या तलवार भूल जाएँ
नौकरी तो ठीक है मगर ये
यार का इतवार भूल जाएँ
प्यार से मिलते रहें, ये नफ़रत
आइए सरकार भूल जाएँ
किसने ग़द्दारी हुज़ूर की थी
कौन था ख़ुद्दार भूल जाएँ
ज़िन्दगी क्या है कुमार भाई
ख़ुशनुमा संसार भूल जाएँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kumar Aryan
our suggestion based on Kumar Aryan
As you were reading Father Shayari Shayari