yaar hamne bhi to ye maana hai | यार हमने भी तो ये माना है

  - Kumar Aryan

yaar hamne bhi to ye maana hai
haan bada matlabi zamaana hai

jism par yun nisaar sab hain par
ye muhabbat to bas bahaana hai

aapko bhoolne ka matlab to
maut hi ko gale lagana hai

roze awwal se kah raha hoon main
aapka dil mera thikaana hai

baantte-baantte main thak jaaun
mujhko bas itna hi kamaana hai

kaam aana hai dushmanon ke bhi
aur roothon ko bhi manana hai

seekh lena hai fan kamaane ka
aur logon ko bhi sikhaana hai

log dekhen to hosh ud jaaye
aisa banke mujhe dikhaana hai

aaryan ko navaaz de yaarab
karze aalam mujhe chukaana hai

यार हमने भी तो ये माना है
हाँ बड़ा मतलबी ज़माना है

जिस्म पर यूँ निसार सब हैं पर
ये मुहब्बत तो बस बहाना है

आपको भूलने का मतलब तो
मौत ही को गले लगाना है

रोज़े अव्वल से कह रहा हूँ मैं
आपका दिल मेरा ठिकाना है

बाँटते-बाँटते मैं थक जाऊँ
मुझको बस इतना ही कमाना है

काम आना है दुश्मनों के भी
और रूठों को भी मनाना है

सीख लेना है फ़न कमाने का
और लोगों को भी सिखाना है

लोग देखें तो होश उड़ जाए
ऐसा बनके मुझे दिखाना है

आर्यन को नवाज़ दे यारब
कर्ज़े आलम मुझे चुकाना है

  - Kumar Aryan

Khudkushi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kumar Aryan

As you were reading Shayari by Kumar Aryan

Similar Writers

our suggestion based on Kumar Aryan

Similar Moods

As you were reading Khudkushi Shayari Shayari