t'alluqaat ke imkaan maar deti hai | त'अल्लुक़ात के इमकान मार देती है - Manish Kumar Pathak

t'alluqaat ke imkaan maar deti hai
vo mera hijr bhi hanskar guzaar deti hai

main isliye bhi hareefon ko bhaav deta hoon
hawa diye ke hunar ko nikhaar deti hai

nahin ye laazimi har jang jeetni hi ho
kai maukon pe shikasti qaraar deti hai

bade jatan se main lab par hasi le aata hoon
tabhi fasuregi mujhko pukaar deti hai

maruthalon ki sifaarish nahin sooni jaati
hare bano ko hi badli fuhar deti hai

kabhi guroor jo hota hai sabz hone ka
khizaan darakht ka nashsha utaar deti hai

agar gale laga le koi hum ro dete hain
dava shifaa nahin deti bukhaar deti hai

त'अल्लुक़ात के इमकान मार देती है
वो मेरा हिज्र भी हँसकर गुज़ार देती है

मैं इसलिए भी हरीफ़ों को भाव देता हूँ
हवा दिये के हुनर को निखार देती है

नहीं ये लाज़िमी हर जंग जीतनी ही हो
कई मौकों पे शिकस्ती क़रार देती है

बड़े जतन से मैं लब पर हँसी ले आता हूँ
तभी फ़सुर्दगी मुझको पुकार देती है

मरूथलों की सिफ़ारिश नहीं सुनी जाती
हरे बनों को ही बदली फुहार देती है

कभी गुरूर जो होता है सब्ज़ होने का
ख़िज़ाँ दरख़्त का नश्शा उतार देती है

अगर गले लगा ले कोई हम रो देते हैं
दवा शिफ़ा नहीं देती बुख़ार देती है

- Manish Kumar Pathak
2 Likes

Dushman Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Manish Kumar Pathak

As you were reading Shayari by Manish Kumar Pathak

Similar Writers

our suggestion based on Manish Kumar Pathak

Similar Moods

As you were reading Dushman Shayari Shayari