apni yaadon ka har ik naqsh mitaate jaao | अपनी यादों का हर इक नक़्श मिटाते जाओ

  - Manish Kumar Pathak

apni yaadon ka har ik naqsh mitaate jaao
tumne seencha hai jo vo ped giraate jaao

shehar waalon se hi seekha hai main ne ye bhi fan
dil milen ya na milen haath milaate jaao

chhod ke ja to rahe ho hamein andhere mein
chaand-sooraj ke magar khwaab dikhaate jaao

ab ye lehron ke thapede nahin sah paayegi
tootti naav ko toofaan se bachaate jaao

bin lade kat gaye is martaba din qurbat ke
jaate jaate koi ilzaam lagaate jaao

sang khaakar bhi khilaate raho duniya ko fal
khud bhale kho raho par raah bataate jaao

अपनी यादों का हर इक नक़्श मिटाते जाओ
तुमने सींचा है जो वो पेड़ गिराते जाओ

शहर वालों से ही सीखा है मैं ने ये भी फ़न
दिल मिलें या न मिलें हाथ मिलाते जाओ

छोड़ के जा तो रहे हो हमें अंधेरे में
चाँद-सूरज के मगर ख़्वाब दिखाते जाओ

अब ये लहरों के थपेड़े नहीं सह पायेगी
टूटती नाव को तूफ़ाँ से बचाते जाओ

बिन लड़े कट गये इस मर्तबा दिन क़ुर्बत के
जाते जाते कोई इलज़ाम लगाते जाओ

संग खाकर भी खिलाते रहो दुनिया को फल
ख़ुद भले खो रहो पर राह बताते जाओ

  - Manish Kumar Pathak

I Miss you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Manish Kumar Pathak

As you were reading Shayari by Manish Kumar Pathak

Similar Writers

our suggestion based on Manish Kumar Pathak

Similar Moods

As you were reading I Miss you Shayari Shayari