dard-o-gham hardam mujhe apni taraf kyun kheenchta hai | दर्द-ओ-ग़म हरदम मुझे अपनी तरफ़ क्यों खींचता है?

  - Vikas Shah musafir

dard-o-gham hardam mujhe apni taraf kyun kheenchta hai
jab kisi se vaasta-dar-vaasta hi nain rakha hai

main abhi tak har museebat jhelta aaya tabhi to
ab mujhe had se ziyaada hi sataaya ja raha hai

kya karoon main jaan meri mujh se cheeni ja rahi hai
aur sab ye poochte hain mujh ko phir se kya hua hai

mujh ko tere husn pe itni rasai to nahin hai
bas mujhe tujh me zakheera khoobiyon ka hi dikha hai

ishq ki is qaid se mujhko rihaai kab milegi
desh to azaad kab ka bandishon se ho chuka hai

दर्द-ओ-ग़म हरदम मुझे अपनी तरफ़ क्यों खींचता है?
जब किसी से वास्ता-दर-वास्ता ही नइँ रखा है

मैं अभी तक हर मुसीबत झेलता आया तभी तो
अब मुझे हद से ज़ियादा ही सताया जा रहा है

क्या करूँ मैं जान मेरी मुझ से छीनी जा रही है
और सब ये पूछते हैं मुझ को फिर से क्या हुआ है

मुझ को तेरे हुस्न पे इतनी रसाई तो नहीं है
बस मुझे तुझ मे ज़खीरा ख़ूबियों का ही दिखा है

इश्क़ की इस क़ैद से मुझको रिहाई कब मिलेगी?
देश तो आज़ाद कब का बंदिशों से हो चुका है

  - Vikas Shah musafir

Hindustan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Vikas Shah musafir

As you were reading Shayari by Vikas Shah musafir

Similar Writers

our suggestion based on Vikas Shah musafir

Similar Moods

As you were reading Hindustan Shayari Shayari