khwaab mein tumne aana chhod diya
khwaab hamne sajaana chhod diya
mukhtasar ho gai khushi meri jab
sapnon ka ghar banaana chhod diya
aaina taakta hai aaj mujhe
be-wajah muskurana chhod diya
teri khidki jo band rahti hai
gali mein aana jaana chhod diya
asliyat aankhen faade baithi hai
khud ko ab aazmaana chhod diya
taane dene laga jahaan mujhe jab
maine phir ye zamaana chhod diya
ख़्वाब में तुमने आना छोड़ दिया
ख़्वाब हमने सजाना छोड़ दिया
मुख़्तसर हो गई ख़ुशी मेरी जब
सपनों का घर बनाना छोड़ दिया
आईना ताकता है आज मुझे
बे-वजह मुस्कुराना छोड़ दिया
तेरी खिड़की जो बंद रहती है
गली में आना जाना छोड़ दिया
असलियत आँखें फाड़े बैठी है
ख़ुद को अब आज़माना छोड़ दिया
ताने देने लगा जहाँ मुझे जब
मैंने फिर ये ज़माना छोड़ दिया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vikas Shah musafir
our suggestion based on Vikas Shah musafir
As you were reading Charagh Shayari Shayari