ye zindagi mile to teri aashiqi mile
phir se mujhe yahin pe teri bandagi mile
mera qusoor kya hai ye maashooq tu bata
roothe agar tu mujh se mujhe teergi mile
ehsaas tha mujhe ye mazaq-e-saleem ka
tu chahta nahin tha mujhe zindagi mile
main is gumaan mein rehta tha vo mere paas hai
main to ye chahta tha ki deewaangi mile
mujhko bhi aisi aankh ata kar mere khuda
andha ho kar bhi mujh ko ye nazzaaragi mile
ये ज़िन्दगी मिले तो तेरी आशिक़ी मिले
फिर से मुझे यहीं पे तेरी बंदगी मिले
मेरा क़ुसूर क्या है ये माशूक़ तू बता
रूठे अगर तू मुझ से मुझे तीरगी मिले
एहसास था मुझे ये मज़ाक़-ए-सलीम का
तू चाहता नहीं था मुझे ज़िन्दगी मिले
मैं इस गुमाँ में रहता था वो मेरे पास है
मैं तो ये चाहता था कि दीवानगी मिले
मुझको भी ऐसी आँख अता कर मेरे ख़ुदा
अंधा हो कर भी मुझ को ये नज़्ज़ारगी मिले
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vikas Shah musafir
our suggestion based on Vikas Shah musafir
As you were reading Jazbaat Shayari Shayari