mohabbat ke siva gham aur bhi hain is zamaane mein
ye sab kuchh chhod kar masroof hoon paisa kamaane mein
hamein maaloom hai sab kuchh yahan paisa hi hota hai
bada kharcha hai aata ab mu'aalij ko dikhaane mein
ameeron se mujhe nafrat nahin bas ye shikaayat hai
ye roti fenk kar khush hain gareebon ko sataane mein
meri aankhon ke aansu is tarah sukhe hue hain ab
bada gussa hai aata ab zabardasti bahaane mein
mujhe ab yaad aate hain vo bachpan ke purane din
mujhe har cheez mil jaati thi bas ro kar dikhaane mein
मोहब्बत के सिवा ग़म और भी हैं इस ज़माने में
ये सब कुछ छोड़ कर मसरूफ़ हूँ पैसा कमाने में
हमें मालूम है सब कुछ यहाँ पैसा ही होता है
बड़ा ख़र्चा है आता अब मु'आलिज को दिखाने में
अमीरों से मुझे नफ़रत नहीं बस ये शिकायत है
ये रोटी फेंक कर ख़ुश हैं ग़रीबों को सताने में
मेरी आँखों के आँसू इस तरह सूखे हुए हैं अब
बड़ा ग़ुस्सा है आता अब ज़बरदस्ती बहाने में
मुझे अब याद आते हैं वो बचपन के पुराने दिन
मुझे हर चीज़ मिल जाती थी बस रो कर दिखाने में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vikas Shah musafir
our suggestion based on Vikas Shah musafir
As you were reading Udasi Shayari Shayari