yun hi kabhi na isko badnaam keejiega | यूँ ही कभी न इसको बदनाम कीजिएगा

  - Vikas Shah musafir

yun hi kabhi na isko badnaam keejiega
ye gham hai ilm is par kuchh kaam keejiega

ye ishq hi khuda ka paighaam hai jahaan mein
aashiq jahaan hain saare ilhaam keejiega

kyun chal rahi jahaan mein har mod pe tabaahi
vehshat ka aisi mil kar kohraam keejiega

kyun jhooth kii zameen pe chal aaj bhi rahe ho
gar pair thak gaye hon aaraam keejiega

bekal hawa ke seene mein shool daagni hai
ai hamnasheen mera bas ye kaam keejiega

gar baanjh ko mile nain aulaad kii khushi to
har baanjh ka jahaan se itmaam keejiega

imaan gir gaya hai insaan ka jahaan mein
gar jhooth bolta hoon elaam keejiega

यूँ ही कभी न इसको बदनाम कीजिएगा
ये ग़म है इल्म इस पर कुछ काम कीजिएगा

ये इश्क़ ही ख़ुदा का पैग़ाम है जहाँ में
आशिक़ जहाँ हैं सारे इल्हाम कीजिएगा

क्यों चल रही जहाँ में हर मोड़ पे तबाही
वहशत का ऐसी मिल कर कोहराम कीजिएगा

क्यों झूठ की ज़मीं पे चल आज भी रहे हो
गर पैर थक गए हों आराम कीजिएगा

बेकल हवा के सीने में शूल दागनी है
ऐ हमनशीं मेरा बस ये काम कीजिएगा

गर बाँझ को मिले नइँ औलाद की ख़ुशी तो
हर बाँझ का जहाँ से इतमाम कीजिएगा

ईमान गिर गया है इंसान का जहाँ में
गर झूठ बोलता हूँ एलाम कीजिएगा

  - Vikas Shah musafir

Jhooth Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Vikas Shah musafir

As you were reading Shayari by Vikas Shah musafir

Similar Writers

our suggestion based on Vikas Shah musafir

Similar Moods

As you were reading Jhooth Shayari Shayari