zaalimon ko gar samajh hoti unhen takhmeen hoti | ज़ालिमों को गर समझ होती उन्हें तख़मीन होती

  - Vikas Shah musafir

zaalimon ko gar samajh hoti unhen takhmeen hoti
phir kabhi dange nahin hote na majrooheen hoti

jab bahut himmat ki maine tab kahi anjaam paaya
duniya kha jaati agar itni na nit parveen hoti

ab nahin chalti hai duniya aise tarz-o-taur se ye
ab sabhi ke pur kalaam-e-taam par tazmeen hoti

itni shiddat se nibhaai bewafaai tune jaanaan
gar juda tujhse na hote to teri tauheen hoti

mere jaise rind aur obaash tera sajda karte
to ye uljhi zindagaani aaj ko rangeen hoti

gar pahan insaaniyat ka chola chalte sab yahan par
aasmaan mein udte to lekin naqa yaqteen hoti

john haalat aapki mujhko pata chal hi gai ab
aapke misre agar kehta hoon to tahzeen hoti

ज़ालिमों को गर समझ होती उन्हें तख़मीन होती
फिर कभी दंगे नहीं होते न मजरूहीन होती

जब बहुत हिम्मत की मैंने तब कहीं अंजाम पाया
दुनिया खा जाती अगर इतनी न नित परवीन होती

अब नहीं चलती है दुनिया ऐसे तर्ज़-ओ-तौर से ये
अब सभी के पुर कलाम-ए-ताम पर तज़मीन होती

इतनी शिद्दत से निभाई बेवफ़ाई तूने जानाँ
गर जुदा तुझसे न होते तो तेरी तौहीन होती

मेरे जैसे रिंद और औबाश तेरा सज्दा करते
तो ये उलझी ज़िंदगानी आज को रंगीन होती

गर पहन इंसानियत का चोला चलते सब यहाँ पर
आसमाँ में उड़ते तो लेकिन नक़ा यक़तीन होती

जॉन हालत आपकी मुझको पता चल ही गई अब
आपके मिसरे अगर कहता हूँ तो तहज़ीन होती

  - Vikas Shah musafir

Motivational Shayari in Hindi

Our suggestion based on your choice

More by Vikas Shah musafir

As you were reading Shayari by Vikas Shah musafir

Similar Writers

our suggestion based on Vikas Shah musafir

Similar Moods

As you were reading Motivational Shayari in Hindi Shayari