rooth jaaun to manaati bhi nahin hai | रूठ जाऊँ तो मनाती भी नहीं है

  - Vikas Shah musafir

rooth jaaun to manaati bhi nahin hai
pyaar to hai par jataati bhi nahin hai

fikr meri ab use bilkul nahin hai
mujh pe vo haq ab dikhaati bhi nahin hai

ab use har cheez se diqqat hai lekin
kya hai diqqat ye bataati bhi nahin hai

phone uska vyast hi rehta hai hardam
phone mera ab uthaati bhi nahin hai

ishq par mujhko bharosa ho gaya tha
ishq harjaai nibhaati bhi nahin hai

kab milogi jab kahoon kal bol deti
jab kahoon milne ko aati bhi nahin hai

kab kahaan kya kar rahi jab poochta hoon
rooth jaati hai bataati bhi nahin hai

ishq mein ye haal to sabka hai sahab
ishq mein barkat ho paati bhi nahin hai

vasl mein koi kabhi sota nahin aur
hijr mein to neend aati bhi nahin hai

रूठ जाऊँ तो मनाती भी नहीं है
प्यार तो है पर जताती भी नहीं है

फ़िक्र मेरी अब उसे बिल्कुल नहीं है
मुझ पे वो हक़ अब दिखाती भी नहीं है

अब उसे हर चीज़ से दिक़्क़त है लेकिन
क्या है दिक़्क़त ये बताती भी नहीं है

फ़ोन उसका व्यस्त ही रहता है हरदम
फ़ोन मेरा अब उठाती भी नहीं है

इश्क़ पर मुझको भरोसा हो गया था
इश्क़ हरजाई निभाती भी नहीं है

कब मिलोगी जब कहूँ, कल बोल देती
जब कहूँ मिलने को आती भी नहीं है

कब कहाँ क्या कर रही जब पूछता हूँ
रूठ जाती है बताती भी नहीं है

इश्क़ में ये हाल तो सबका है साहब
इश्क़ में बरकत हो पाती भी नहीं है

वस्ल में कोई कभी सोता नहीं और
हिज्र में तो नींद आती भी नहीं है

  - Vikas Shah musafir

Love Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Vikas Shah musafir

As you were reading Shayari by Vikas Shah musafir

Similar Writers

our suggestion based on Vikas Shah musafir

Similar Moods

As you were reading Love Shayari Shayari