deep jalte hue ham bujhaate nahin
muskuraate hue ko rulaate nahin
hamko maaloom hai dil ye naadaan hai
isliye dil kisi ka dukhaate nahin
hai muhabbat unhen bhi pata hai hamein
ishq kitna hai par vo bataate nahin
dhyaan rakhte hain vo har meri baat ka
pyaar karte to hain par jataate nahin
jaanen kyun log rishte banaate hain phir
jab unhen vo kabhi bhi nibhaate nahin
daudkar aate the jo faqat phone par
ab bulane pe bhi yaar aate nahin
baat jo karte hain saaf hi karte hain
baat ko ham kabhi bhi ghumaate nahin
dost maana hai gar mujhko tumne kabhi
dost se baat phir kuchh chhupaate nahin
sabko hamse faqat ik shikaayat yahi
jaane kyun yaar tum muskuraate nahin
baat dil kii kisi se nahin kahte hain
ghaav dil ke sabhi ko dikhaate nahin
shaan se chalte hain sar utha ke aman
har kisi dar pe sar ham jhukaate nahin
दीप जलते हुए हम बुझाते नहीं
मुस्कुराते हुए को रुलाते नहीं
हमको मालूम है दिल ये नादान है
इसलिए दिल किसी का दुखाते नहीं
है मुहब्बत उन्हें भी पता है हमें
इश्क़ कितना है पर वो बताते नहीं
ध्यान रखते हैं वो हर मिरी बात का
प्यार करते तो हैं पर जताते नहीं
जानें क्यूँ लोग रिश्ते बनाते हैं फिर
जब उन्हें वो कभी भी निभाते नहीं
दौड़कर आते थे जो फ़क़त फ़ोन पर
अब बुलाने पे भी यार आते नहीं
बात जो करते हैं साफ़ ही करते हैं
बात को हम कभी भी घुमाते नहीं
दोस्त माना है गर मुझको तुमने कभी
दोस्त से बात फिर कुछ छुपाते नहीं
सबको हमसे फ़क़त इक शिकायत यही
जाने क्यूँ यार तुम मुस्कुराते नहीं
बात दिल की किसी से नहीं कहते हैं
घाव दिल के सभी को दिखाते नहीं
शान से चलते हैं सर उठा के 'अमन'
हर किसी दर पे सर हम झुकाते नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Avijit Aman
our suggestion based on Avijit Aman
As you were reading Friendship Shayari Shayari